6 May 2015

RAJAB KI BAHAREN

Basra ki ek Nek Khatoon Ne ba waqte wafaat apne bete ko wasiyyat ki, ki mujhe us kapde ka Kafan dena jise pahan kar mai Ra-jabul Murajjab me ibadat kiya karti thi. Baa'd az wafaat bete ne kisi aur kapde me kafna kar dafna diya. Jab wo Qabristan se ghar aaya to ye dekh kar tharra utha ki jo Kafan usne pahnaya tha wo ghar me maujud tha ! Jab usne ghabra kar Maa ki wasiyyat wale kapde talash kiye to wo apni jagah se gayib the. Itne me ek gaibi awaaz goonj uthi : "Apna Kafan Wapas Le Lo (jiski usne Wasiyyat ki thi) Humne Usko Usi Kapde Me Kafnaya Hai (kyuki) Jo RAJAB KE ROZE Rakhta Hai Hum Usko Qabr Me Ranjida Nahi Rahne Dete."
Ref: Nuzhat-ul-Majalis, J-1, S-208.


Ek Jannati Nahar Ka Naam Rajab Hai

Hazrate Sayyiduna Anas Bin Maalik رضي الله تعالي عنه Se Rivayat Hai ki Rasoolullah صل الله تعالي علیہ والہ وسلم Ne Irshad Farmaya :
"Jannat Me Ek Nahar Hai Jise "RAJAB" kaha Jaata hai Jo Doodh Se Zyada Safed aur Shahed Se Zyada Meethi Hai Toh Jo koi RAJAB ka Ek Roza Rakhe to Allah عزوجل Use Is Nahar se Sairaab Karega.

Jannati Mahel

Tabeyi Buzurg Hazrate Sayyiduna Abu Qilala رضي الله تعالي عنه Farmate Hai : RAJAB ke Rozedaro ke liye Jannat me ek Mahal hai.

(Shoabul Imaan, Jild - 3, Safha-368, Hadis : 3802).)

Rozedaron Ke Liye Bakhshish Ki Bisharat

Allah Taba-rak Wa Ta’aala Parah 22 Suratul Ahzaab ki Aayat Number 35 me Irshad Farmata hai :

Tarajama-e-Kanzul Imaan:
"Aur Roze Wale Aur Roze Waliyan Aur Apni Paarsayi Nigah Rakhne Wale Aur Nigah Rakhne Waliyan Aur Allah Ko Bahut Yaad Karne Wale Aur Yaad Karne Waliyan In Sab Ke Liye Allah (عزوجل) Ne Bakhshish Aur Bada Sawab Taiyyar Kar Rakha Hai."

Hazrate Sayyiduna Anas رضي الله تعالي عنه se Rivayat hai ki
Rasoolullah صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :

● Jisne Rajab Ka 1 Roza rakha to wo Ek Saal Ke Rozon ki tarah hoga.

● Jisne 7 Roze Rakhe Uspar Jahannam Ke Saaton Darwaze band kar diye jate hai,

● Jisne 8 Roze rakhe uske liye Jannat ke Aathon Darwaze khol diye jayenge,

● Jisne 10 Roze rakhe wo Allah عزوجل se jo kuch Maangega Allah عزوجل use ata farmayega.

● Aur jisne 15 Roze rakhe to Aasmaan se ek Munadi nida (yaa’ni ailaan karne wala ailaan) karta hai ki tere pichle Gunah bakhsh diye gaye pas tu az sare nau amal shuru kar ki teri buraaiyan nekiyon se badal di gayi.
Aur jo zaayid kare to Allah عزوجل use ziyada de. Aur Rajab me Nooh عليه السلام Kishti me Suwaar hue to khud bhi Roza rakha aur humrahiyon ko bhi Roze ka hukm diya. Unki Kishti Dus Muharram tak Chah (6) Maah tak safar Par Rahi.

Ref: Sho’abul Imaan, J:3, S:368, Hadis: 3801.

Muhakkike Alal Itlak, Khatamul Muhadisin, Hazrate Allama Shaikh
Abdul Haq Muhadis Dehalvi رحمة الله عليه Naql karte hai ki Sultane Madina صل الله تعالي علیہ والہ وسلم ka Farmane Ba Karina Hai:

MAHE RAJAB Hurmat wale dino me se hai aur Chhate Aasman ke Darwaze par is Mahine Ke Din Likhe Huye Hai. Agar koi Shakhs RAJAB Me ek Roza Rakhe aur use Parhez gari se pura kare to wo Darwaza aur wo (Roze wala) us Din bande ke liye Allah عزوجل se Magfirat Talab Karenge aur Arz Karenge : Ya Allah عزوجل ! is bande ko Bakhsh de aur agar wo shakhsh Bigair Pahrez gari ke Roza Guzarta hai to Fir wo Darwaza aur Din uski Bakshish ki dar-khwast Nahi karenge aur us Shakhs se kahte hai : "Aye Bande ! Tere Nafs Ne Tujhe Dhoka Diya"
(Masabata Bis Sunna, Safha 234, Fazail Shahre Rajab Lil Khallal, Safha 3-4).

Ma'lum hua ki Roze se Maksood sirf bhook pyaas nahi, tamam A'za ko Gunaho se bachana bhi zaruri hai

0 comments:

Post a Comment