19 May 2014

- Mukhtalif Namazon ka tarikha

TAHIYATUL WAZU:
Muslim shareef me hai ki Nabiye Kareem Sallallahu Alaihi  Wasallam ne farmaya jo shaks wazu kare aur accha wazu kare aur zaahir wa baatin se mutawajjeh hokar do rakaat (namaaz tahiyatulwazu) padhe uske liye jannat wajib ho jaati hai.


SAWAAL:  Namaaz witr kis tarah padhi jaati hai ?
JAWAAB:  Namaaz witr bhi iss tarah padhi jaati hai jis tarah aur namaaz padhi jaati hai. Lekin witr ki teesri rakaat me Alhamdu aur surat padhne ke baad kaano tak dono haath le jaaye aur Allahu akbar kehte huwe haath wapas laaye aur naaf(dhondi) ke neeche baandh le phir Dua-e-Qunoot padhe phir uske baad aur namaazo ki tarah ruku aur sajda wagaira karke salaam pher de.

NAMAAZE ISHRAQ:
Tirmizi shareef me hai ki Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo fajr ki namaaz jamaat se padh kar khuda ka zikr karta rahe yaha tak ki suraj baland ho jaaye phir do rakaat (namaaze ishraq) padhe toh usko poore haj aur umra ka sawaab milega.

NAMAAZE CHAASTH:

Chaasth ki namaaz mustahab hai kam se kam do aur ziyada se ziyada baarah(12) rakaate hai tirmizi aur ibne maaza me hai ki Huzur Sallallahu Alaihi  Wasallam ne farmaya jo chaasth ki do rakaato par muhafazat kare uske gunah baksh diye jayenge agarche samundar ke jhaag ke barabar ho.

NAMAAZE TAHAJJUD:
Tahajjud ki namaaz ka waqt isha ki namaaz ke baad so kar uthe uss waqt se tuluye subah sadiq tak hai tahajjud ki namaaz kam se kam do rakaat hai aur Huzur Sallallahu Alaihi  Wasallam se aath(8) tak sabith hai, hadees shareef me iss namaaz ki badi fazilath(badayi) aayi hai nasee aur ibne maaza ne apni sunan me riwayat ki ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi  Wasallam ne farmaya jo shaks raat me bedaar ho(jaage) aur apne ahal ko jagaye phir dono do do rakaat padhe toh kasrat se yaad karne waalo me likhe jayenge.

SALATUT TASBEEH:

Salatut tasbeeh me beinteha sawaab hai, baaz muhaqqiqeen farmate hai ki uski buzurgi sunkar tark na karega magar deen me susti karne wala hadees shareef me hai ki Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrate Abbas Radiyallahu Anhu se farmaya ki “Aye chacha agar tum se ho sake toh salatut tasbeeh roz ek baar padho, agar roz na ho sake toh har juma ko ek baar padho aur yeh bhi no ho sake toh har mahine me ek baar padho aur yeh bhi na ho sake toh har saal me ek baar padho aur yeh bhi na ho sake toh umr me ek baar padho”. Iss namaaz ki tarkeeb sunne Tirmizi me Hazrate Abdullah ibne Mubarak se iss tarah mazkoor hai ki takbeer tehrima ke baad sana padhe phir pandrah(15) baar yeh tasbeeh padhe – “SUBHANALLAHI WALHAMDU LILLAHI WALA ILAHA ILLALAAHU WALLAHU AKBAR” phir Tau-uz, Tasmiya, Surae Fatiha aur Surat padh kar dus baar upar wali tasbeeh padhe phir ruku kare aur ruku me dus baar padhe phir ruku se sar uthaye Tasmia-wa-Tehmeed ke baad dus baar wahi tasbeeh padhe phir sajde ko jaaye aur usme dus martaba padhe phir sajda se sar uthaye to dus baar padhe phir dusre sajde me jaaye toh dus baar padhe. Iss tarah chaar rakaat padhe aur ruku wa sujood me “SUBHANA RABBIAL AZEEM” aur “SUBHANA RABBIAL  AALA” kehne ke baad tasbeeh padhe.

NAMAAZE HAJAT:

Abudawood me hai Hazrate Huzaifa Radiallahu Ta’ala Anhu farmate hai ki jab Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ko koyi aham muamila pesh aata toh aap uske liye do ya chaar rakaat namaaz padhte. Hadees shareef me hai pehli rakaat me suraye fatiha aur teen baar ayatul kursi padhe aur baaki teen rakaato me suraye fatiha, qulhuwallahu, qulaauzubi rabbil falaq aur qul aauzubi rabbinnaas eke k baar padhe toh yeh aisi hai jaise shabe qadr me chaar rakaate padhi, mashayiq farmate hai ki hamne yeh namaaz padhi aur hamari haajate(zarurate) poori huwi.

0 comments:

Post a Comment