18 Aug 2015

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Bareillvi RadiALLAHU Anhu ka aqeeda kya hai ?

mame Ahlesunnat Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi ne apni kitaabo me buri bid’ato ko radd kiya hai aur unse bachne ka hukm diya hai.

»»» (1) Sajda ALLAH ke siwa kisi ke liye nahi.Gairullah ko Sajda e Ibadat Shirk Aur Sajda e Ta’azimi Haraam hai. (Azzubdatuz Zakiyya Safa-5)

»»» (2) Raoza e Anwar ka na Tawaf karo, na Sajda,na itna jhuko ke Rooku ke barabar Ho. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ta’azeem unki Ita'at me hai. (Fatawa Razawiya, 10 /769)

»»» (3) Mazar ka Tawaf ba-niyyat Ta’azeem najaiz hai. Tawaf sirf ka’abe ke liye makhsus hai. (Fatawa Razawiya, 4/08)

»»» (4) Khabardar (Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke Raoze ki) jaali ko bosa dene ya haath lagane se bacho ke ye Khilafe adab hai, Balke 4 haath ke faasle se zyada qareeb na jaao. Ye un ki rehmat kya kam hai ke apne huzur bulwaya. (Fatawa Razawiya, 10 /765)

»»» (5) Farzi mazaar banana aur us ke saath asl ka sa muamla karna najaiz Aur Bid'at hai. (Fatawa Razawiya, 9/425)

»»» (7) Nasha haraam hai aur Nashe ki cheeze peena jis se Nashebaazo ki munasibat ho ye bhi gunah hai. (Ahkam e Shariat, Jild -2)

»»» (8 ) Mazaamir ya’ni Aalat e lahw o la'ab (Musical instruments) bila shuba haraam hain. Jin ki hurmat Auliya aur Ulema ke kalimaat me wazeh hai. Unke sunne sunane ke Gunah hone me shak nahi. Aur Saadaat e Chisht ki taraf unki nisbat iftera hai. (Fatawa Razawiya, 10/54)

»»» (9) tawaifo ka Naach be-shak Haraam hai. Be-qaid jaahilo ne ye ma’asiyat phelayi hai. (Fatawa Razawiya, 29/92)

»»» (10)Aatish baazi israaf hai aur Israaf haraam hai, Khane ka aise lutana be- adabi Aur Be-adabi mehroomi hai, Maal ka israf hai. Roshni agar masaliha e shariya Se khali ho to wo bhi israaf hai. (Fatawa Razawiya, 24/112)

»»» (11) Qabro ki taraf Shama le jaana ye Bid'at aur Maal ko zaaya karna hai. (Al Bareequl Manaar, Safa -9)

»»» (12) Mazar par jab chadar majood ho, Kharab na hui ho,Badalne ki haajat nahi to chaadar chadhana Fuzulkharchi hai, Balke jo rakam is me sarf karen, wo ALLAH ke wali ko isaale sawab karne ke liye kisi mohtaj ko den. (Ahkaam e Shariyat, Jild -1/42)

»»» (13) Kisine agar Taaziye par Mannat maani to ye Nazar baatil aur najaiz hai. (Fatawa Razawiya, 24/501)

»»» (14) Najaiz baat ka tamasha dekhna bhi najaiz hai, Jis tarah bandar nachana. (Malfuzat, Safa -286)

»»» (15) (Urs ka din muqarrar karne me maslihat) : Auliya ki arwahe tayyiba ko unke wisal ke din Quboor e kareema ki taraf tawajjoh zyada hoti hai, Chunache wo waqt jo khaas Wisaal ka hai, Akhaz e Barakat ke liye zyada munasib hota hai. (Malfuzat, Safa -383)

»»» (17) (Mazaar par Dua ka tareeqa) : Fatiha ke baad Sahibe mazaar ke Waseele se Allah se Dua karen Aur apni jaaiz murad pesh karen. Phir Salam karte hue wapis aayen. Mazaar ko na haath lagaen, Na Bosa den. Tawaf bil ittefaq Na-jaaiz hai Aur Sajda Haraam hai. (Fatawa Razawiya, 9/522)

0 comments:

Post a Comment