20 Aug 2015

Wahabi Vs Sunni ( Jahilana Wahabi ka Shikwa )

Jahilana Wahabi ka Shikwa:…

1- Kaafir mandir jata hai, Tu Mazaar jata hai.
2- Kaafir Prasaad khaata hai, Tu Langar khaata hai.
3- Kaafir Naariyal chadhaata hai, Tu chaadar chadhaata hai.
4- Kaafir Aashirvaad leta hai, Tu Muraad leta hai.
5- Kaafir haath jodta hai, Tu maatha tekta hai.
6- Kaafir ki bhi bigdi ban jaati hai, Teri bhi muraad bhar aati hai
7- Jab koi farq hai nahi To tera KHUDA aur kaafir ka bhagwaan alag kyun hai?
8- Tere NABI to masjid jaate the, Phir Tu Mazaar pe kyun jaata hai?
9- Tere NABI ne to dua ke liye upar haath uthaye, To Tu kyun Qabr se chimat ta hai?
10- Tere NABI ne to sirf apne ALLAH se maanga, tu kyun mazaaron se sar phodta hai? * * *

Sunni ka Alimana Jawab.....
in light of Quran-o-Ahadith:

Objection 1 : Kaafir mandir jata hai, Tu Mazaar jata hai.
Reply: Dono mein farq ye hain ki Mandir mein uska Jhoota khuda hai jiski woh ibaadat karta hai Aur Mazaar mein Mere RAB ka NABI/WALI hai jiski main ibaadat nahi karta hun balke Taazeem karta hun aur Mere AAQA ki Hadees par amal karta hun
Hadees: Hazrat BURIDA (radiyallahu anhu) se riwaayat hain ki HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: MAIN Tumhe ziyaarat-e-Quboor se manaa kiya karta tha, pas ab ziyaarat kiya karo" [Sahih Muslim, kitaab ul Janaiz]
aur Hazrat ABDULLAH bin UMAR se riwaayat hain RASOOLULLAHصلی اللہ ُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: " Jisne MERI Qabr (Mazaar) ki Ziyaarat ki (roze Qiyaamat) us ke haq mein MERI shafa'at waajib ho gayi" [Daare Qutni fi Sunan, jild 2; Baihiqi fi Shoobul Imaan, jild 3]
Mere NABI ne mujhe Hukm diya Mazaaraat par jaane ka. Bad naseeb to tu hain jo is Sunnat ko Mandir se tashbeeh deta hai... Ab batao Musalmaan tum hai ya Main? Mazaaraat par jaana Sunnat hain ya Mandir mein jaane jaisa hain???

Objection 2 : Kaafir Prasaad khaata hai, Tu Langar khaata hai.
Reply: Woh prasaad uske Jhoote Khuda ke naam par khilaata hai aur main Langar khaata aur khilaata hun ALLAH ke WALI ke Isaale sawaab ke naam par. Farq itna hain ki Prasaad jhoote khuda ka hai aur Langar Sacche WALI ka. Woh shirk karta hai aur main Apne NABI ki Sunnat par amal!
Hadees: Hazrat Saad se riwaayat hain ki unhone HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki khidmat mein arz kiya: Yaa RASOOLALLAH صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ! Umme Saad ( Meri Waalida) ka inteqaal ho gaya hai. So kaun sa sadqa (isaale sawaab) afzal hai? AAP ne farmaya: " Paani (pilaana). To unhone ek kuwaan(well) khudwaaya aur kaha: Ye Umme Saad ka quwaan hai!" [Abu Dawood, kitab ul Zakah]
NABI ne Paani ka Langar lagwaya aur logon ne paani ke langar se paani piya! Langar mere AAQA aur Sahaba ki sunnat ho gayi.
Hadees: Abdullah bin Amr farmate hain kisi ne RASOOLALLAH صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ se pucha kis qism ka Islam accha hain? Farmaya: Khana Khilaao aur jise jaante ho yaa nahi use Salaam karo" [Sahih Bukhari, kitab ul Imaan]
Ab NABI to farma rahe hain ki behtareen Amal logon ko Khaana khilaana hai aur sawaab hain. Ab hum is sawaab ko WALI ke naam par Isaale sawaab kare aur logon ko langar khilaaye to Sunnat hain yaa Ma'azAllah Mandir ka prasaad? Woh Prasaad khata rahe aur hum WALI ka Langar khaayenge. ALHAMDULILLAH!

Objection 3 : Kaafir Naariyal chadhaata hai, Tu chaadar chadhaata hai.
Reply: Woh Naariyal uske jhoote Bagwaan ki Ibaadat ke liye chadhaata hai aur Main NABI/WALI ke Mazaar par chaadar Unki Taazeem ke liye chadhaata hun. Farq itna hai ki woh ibaadat ki garz se karta hai aur main Taazeem ki garz se. Sahaba ne KAABA par chaadar chadhaayi KAABA ki Taazeem ke liye. Maine Qabr par chadhaayi Mazaar ki Taazeem ke liye.
Hadees: Hazrat Sufyaan Tamaar se marwi hain ki unhone bayaan kiya ki NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar ko dekha hain ki woh Kuwaan numa hain (yaani oonchi- zameen se upar - elavated - convex). [Sahih Bukhari, kitab ul Janaiz]
Hazrat Imam Ebrahim Nakhie ne farmaya jis shakhs ne NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ aur Saahibain ki Qabre dekhi hain us ne mujhe khabar di hain ki woh sab zameen se ubhri huwi hai. Un par safed sange marmar hain. Jab NABI, SAHABA aur SAAHIBAIN ki Mazaar oonchi aur Sange marmar laga sakte hai to Mazaaraat par chaadar chadhaane se kya harj hai?

Objection 4: Kaafir Aashirvaad leta hai, Tu Muraad leta hai.
Reply: Woh Apne jhoote Khuda se Aashirvaad leta hai jo usko na faida pohoncha sakta hai na nuksaan. Aur main ALLAH ke NABI/WALI se Muraad leta hun jo ALLAH ki Ataa se mujhe zaroor faida pohonchata hai.
Hadees: Hazrat Abdur Rahmaan bin Saad bayaan karte hain ki Hazrat Abdullah bin Umar ka paaon sun ho gaya to Ek Aadmi ne unse kaha ki logon mein jo Aap ko sab se zyada Mehboob ho use Yaad karo. To Aap ne kaha : " Yaa MUHAMMAD صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ! (Aur unka Paaon bilkul theek ho gaya) [Imam Bukhari fi Adab ul Mufrad, Jild 1]
Hadees: Hazrat Malik Daar riwaayat karte hain ki Hazrat Umar ke zamaane mein log qahat mein mubtila ho gaye. Phir ek Sahabi HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar par haazir huwe aur Arz kiya :
Yaa RASOOLALLAH! صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Aap apni Ummat ke liye sairaabi maange kyunki woh halaak ho gayi hain........ (Is amal ke baad muraad puri huwi aur khoob baarish huwi) [Musanaf ibne Abi Shayba, jild 6; Baihiqi fi Dalailun Nubuwah]
Sahaba ki Sunnat to NABI ke Mazaar par jaa kar Muraad wa Madad lena tha. Hum to Sunnat par amal kar rahe hain kyunki Hamare NABI aur WALI sacche aur ALLAH ki Ataa se muraad puri karte hai. Magar afsos ki tum Hamare NABI aur WALI ko Jhoote Bhagwaan (buth) se tashbeeh karte ho. MA'AZALLAH! Laanat ho aise Mazhab par.

Objection 5 : Kaafir haath jodta hai, Tu maatha tekta hai.
Reply: Woh jhoote Khuda (buth) ke saamne ibaadat ke liye Haath jhodta hai Aur hum Musalmaan NABI aur WALI ke dar par maatha taazeeman tekte hai (sajda nahi karte). Hamara Maatha tekna unse Mohabbat mein hai. Maatha tekna na Sajda e Taazeemi hain na Ibaadat balki Taazeem ke saath bosa dena hai jaise hum Hajre Aswad aur KAABE ki deewaar ko choomte aur mas karte hai.
Sahaba ka Amal: Hazrat Dawood bin Abu Swaaleh (radiyallahu anhu) riwaayat karte hain ki Ek roz Marwaan aaya aur usne dekha ki Ek Aadmi HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar par Apna Chehra jhukaaye huwe hain. To usne us Aadmi se kaha: " kya tu jaanta hain ki tu ye kya kar raha hain? Jab Marwaan us ki taraf badha to dekha ki woh (Sahabi e RASOOL) Hazrat Abu Ayub Ansari (radiyallahu anhu) the. Unhone (Jawaab mein) faymaya: Haan! (Main jaanta hu) Main RASOOLALLAH ! صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki baargaah e Aqdas mein haazir huwa hun. Kisi patthar ke paas nahi aaya! [Musnad Ahmed bin Hambal]
Jo Jawaab Sahabi ne Marwaan ko diya wahi Jawaab Hum Musalmaanon ka tumhe hai ki hum NABI aur WALI ki baargaah mein maatha jhukaate hai, Na ki Mandir mein rakhe Patthar par. Musalmaan ke liye Sahabi ka jawaab aur aqeeda kaafi hain.

Objection 6 : Kaafir ki bhi bigdi ban jaati hai, Teri bhi muraad bhar aati hai
Reply: Meri to Muraad beshak poori hoti hain magar Uski bigdi aur badtar ho jaayegi.. Kyunki use uska jhoota khuda kabhi faida nahi pohoncha sakta hai ye Hum Musalmaano ka Aqeeda hai aur Hamara Sacha NABI aur WALI, ALLAH ki Ataa se hamein zaroor faaida pohonchaate hain. ALHAMDULILLAH !

Objection 7 : Jab koi farq hai nahi To tera KHUDA aur kaafir ka bhagwaan alag kyun hai?
Reply: Farq tujhe nahi lagta Aye Wahaabi! Mera KHUDA Saccha hai aur uska Jhoota! Farq teri soch mein hain ki tu Ma'azAllah uske Jhoote khuda ko ALLAH ke sacche NABIYON aur WALIYON se mila raha hain. Laanat ho aisi soch par...

Objection 8 : Tere NABI to masjid jaate the, Phir Tu Mazaar pe kyun jaata hai?
Reply: kyun ki Mere NABI ne Mazaar par jaane ki bhi Ijaazat di hai. Is liye Main Masjid bhi Jaata hun aur Mazaar par bhi.
Hadees: Hazrat Burida (radiyallahu anhu) se riwaayat hain ki HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: " Main Tumhe ziyaarat e Quboor se manaa kiya karta tha, pas ab ziyaarat kiya karo" [Sahih Muslim, kitab ul Janaiz]
Ab bata tu NABI ke Hukm aur Sunnat par amal karta hai yaa Main?

Objection 9 : Tere NABI ne to dua ke liye upar haath uthaye, To Tu kyun Qabr se chimat ta hai?
Reply: Kyun ki Mere NABI, ALLAH ki Ataa se Madad Karte hain. Kyunki Sahabi Abu Ayub Ansari Mere NABI ki Qabr se Chimat te the. Ab teri maanu yaa Sahabi ki?

Objection 10 : Tere NABI ne to sirf apne ALLAH se maanga, tu kyun mazaaron se sar phodta hai?
Reply: Mere NABI ne ALLAH se Maanga. Main bhi ALLAH se Maangta hun. Aur mere NABI ne ALLAH ki ataa se diya bhi is liye main NABI se bhi maangta hun. Aur Sahaba ne bhi NABI se Maanga aur mila bhi.
Hadees: Hazrat Malik Daar riwaayat karte hain ki Hazrat Umar ke zamaane mein log qahat mein mubtila ho gaye. Phir ek Sahabi HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar par haazir huwe aur Arz kiya "ya RasoolAllah apni qaum k liye barish ke dua kijiye, nahi to wo halaak hojayenge" iske baad huzoor iske kwaab me tashreef laye aur arz ki "umar ke paas jao aur salam pahunchaou, phir barish k bheje jane ki mubarak baad do. (Dalail Nubuwah 7:47), (hafid ibn Kathir al bidaya wal nihaya 7:91-92) (mahfoom e hadees)
Ek riwaayat me kuch alfaaz ki tabdilee k saat iska baad ka waqaya bhi darjzail hai. Jisme hazrath umar ne khushkhabri sunne k baad logon ko jama kiya aur Hazrat al abbas aur huzoor k wasile se dua mangee. (Tabaris Tarikh 2:509, aisehee hazrath e umme aisha siddiqua radiallahu k zamaane me qahat padha to aapne huzoor k hujre mubarak ki chat me khidki khulwaee(jo aaj bhi mawjood hy) take Qabre Anwar se aasmaan saaf ho phir itni barish huwi ki har taraf hariyali hogayee aur janwar mote hogaye. (Mahfoo e hadith, Sunan Darimi Volume 001, Page 227, Hadith Number 093.)

Objection:5 ki hadith ko bhi refer karain jahan hazrath ayub Ansari ra, mazare aqdas per apna chahra mal rahe they.

Allah hamey haq sunne, aur uss par amal karne ke toufiq ata farmaye. Aameen

2 comments:

Unknown said...

allhumdulilah ...superb post

Unknown said...

are wahabiyo tum ko ye ek aur bhi jawab he ki tum peda huve.to uska jariya maa aur baap bane direct upar allah se to nahi aaye. isi liye agar allah se khuch mangana he to uske valiyo ke jariye se manga jata he. samje kafir wahabiyo shaitan ki aulado

Post a Comment