23 Jan 2014

- Rabbana Ya Rabbana - Ya Elahi Har Jagah Teri Ata Ka Saath Ho


Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana

Ya Ilahi har jagha teri ataa ka saath ho
Tab pare mushkil shahe-mushkil kusha ka sath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana

Ya Ilahi bhool jaaon naz'aa ki takleef ko
Shadi e deedar-e-husn-e-Mustafa ka saath ho

Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana

Ya Ilahi gor-e-teera ki jab sakht raat
Unke pyaar mon ki subh-e-jaan fiza ka saath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Ya Ilahi naama-e-amaal jab khulne lage
Aib posh-e-khal saattar-e-khata ka saath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana  

Ya Ilahi garmiye mehshar se jab bharke badan
Daman-e-Mehboob ki thandi hawa ka saath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Ya Ilahi jab zaman bahar aaye pyaas se
Sahib-e-kokar jood-o-sakha ka saath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Ya Ilahi jab hisab-e-khanda e be jaa rulaye
Chashm-e-giryan-e-shafi-e-Murtaja ka saath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Ya Ilahi jab par-e-mehshar mein shor-e-daro geer
Aman dene wale pyaar paishwa ka saath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Ya Ilahi sard mori par ho jab Khursheed-e-hasr
Sayyed e be saaya ke zille liwa ka saath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Ya Ilahi jab chal-e-tareek rah-e-pul sirat
Aftab-e-Hashmi Noorul Huda ka saath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Ya Ilahi jab sar-e-shamsheer par chalna pare
Rabbi sallim kehne wale gham zada ka saath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana

Ya Ilahi jo duaye naik hum tujhse kare
Qudsiyon ke lab se aami raabana ka saath ho
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana

0 comments:

Post a Comment