16 Apr 2014

- Kya Her Bidat gumraahi hai ?

SAWAAL:Hadees shareef me hai ki har Bidat gumraahi hai toh isse kounsi Bida’ath murad hai ?
JAWAAB: Iss Hadees shareef se sirf Bida’athe Sayyia muraad hai {Dekhiye Mirkath Sharah Mishkath Jild awwal safa 179 aur Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125} isliye ki agar Bida’ath ki tamaam qisme muraad leejaye jaise ki zaahire hadees se mafhoom hota hai toh fiqah Ilmekaram aur sarf wa nah wa wagaira ki tadween aur unka padhna padhana sab zahaalath wa gumraahi ho jayega.

SAWAAL: Kya Bida’ath ka Hasna aur Sayyia hona Hadees shareef se bhi saabith hai ?
JAWAAB: Haan Bida’ath ka Hasna aur Sayyia hona Hadees se bhi saabith hai Tirmizi shareef me hai ki Hazrath-E-Umar Farooqe Aazam Raziallahu Ta’ala Anhu ne Taraveeh ki baqaida jamaath qayim karne ke baad farmaya ki ye bahuth achchi Bida’ath hai(Mishkath safa 115) aur Muslim shareef me Hazrath-E-Zaabir Raziallahu Ta’ala Anhu se riwayath hai ki Rasoole Kareem Sallallahu  Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo islam me kisi achche tariqe ko raayij karega toh usko apne raayij karne ka bhi sawaab milega aur unn loogon kea mal karne ka bhi sawaab milega jo uske baad uss  tariqe par amal karte rahenge aura mal karne waalon ke sawaab me koi kami bhi na hogi aur jo  shaks mazhabe islam me kisi bure tariqe ko raayij karega toh uss shaks par uske raayij karne ka bhi  gunah hoga aur unn loogon ke amal karne ka bhi gunah hoga jo uske baad uss tariqe par aml karte  rahenge aur amal karne waalon ke gunah me koyi kami bhi na hogi (Mishkath safa 33).

SAWAAL: Kya milaad shareef ki mehfil munaqid karna Bida’athe Sayyia hai ?
JAWAAB: Milaad shareef ki mehfil munaqid karna uss me Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam  ki paidayishi ke halaath aur deegar fazayil wa maaqib bayan karna barkath ka bayis hai. Usse Bida’athe Sayyia kehna gumrahi wa budmazhabi hai.

SAWAAL: Kya Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane me maiyyath ka teeja hota tha ?
JAWAAB: Maiyyath ka teeja aur issi tarah duswan, beeswan aur chaleeswan wagaira Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ke zahiri zamane me nahi hota tha balki ye sab baad ki ijaad hai aur Bida’athe Hasna hai issliye ke inn me maiyyath ke isaale sawaab ke liye Quraan qaani hoti hai. Sadqa qairath kiya jaata hai aur gurba wa masaakeen ko khana khilaya jaata hai aur ye sab sawaab ke kaam hai. Haan iss mouke par dost wa ahbaab aur azeez wa aqaarib ki dawat karna zarur Bida’athe Sayyia hai(Shaami Jild awwal safa 30(0) 629 Fathhul Qadeer Jild duwwam safa 102).

0 comments:

Post a Comment