17 Apr 2014

- Rasool Aur Nabi

SAWAAL:  Rasool aur Nabi koun hote hai ?

JAWAAB:  Rasool aur Nabi Khudaye Ta’ala ke bande aur insaan hote hai.  Allah Ta’ala ne unko insaan ki hidayath ke liye duniya me bheja hai. Who bandon tak Khudaye Ta’ala ka paigaam pahunchate hai.  Moujize dikhate hai, aur gaib ki baatein batate hai, Jhoot kabhi nahi bolte woh har gunah se paak saaf hote hai, unki tadaad kuch kam wa besh ek lakh choubees hazaar ya takreeban do lakh choubees hazaar hai, sab se pehle Nabi Hazrath-E-Aadam Alaihissalaam hai aur sab se aakhri Nabi Hamare Paigambar  Hazrath MUHAMMED MUSTAFA Sallallahu Ta’ala Alaihiwasallam hai.

SAWAAL:  Kya hum Hindoun ke peshwawon ko Nabi keh sakte hai ?
JAWAAB:  Kisi shaks ko Nabi kehne ke liye Quraan wa Hadees se subooth chahiye aur Hindoun ke peshwawon ke Nabi hone par Quraan wa Hadees se koi subooth Nahi milta iss liye ham unhe Nabi nahi keh sakte.

0 comments:

Post a Comment