17 Apr 2014

- Miswak

Fazilath: 12vi ki nisbat se Miswak ke 12 fazilatein.

1) Miswak tamaam Rasoolon ki sunnath hai.
Note: Chaar (4) cheezain tamaam Rasoolon ki sunnath hai.
1) Khatna karna              3) Miswak karna
2) Itr lagaana                   4) Nikah karna

2) Jo Miswak ka aadi hai, uske liye Ambiya aur Rasool (Alaihissalaam) uske liye dua-e-magfirath karte hai.

3) Miswak shaitaan ko naaraaz kardeti hai aur usko door kar deti hai.

4) Miswak naza me asaani aur kalmaye shahadath yaad dilaati hai.

5) Jo Miswak ka aadi hai uski qabar ko farakh kiya jaata hai aur qabar me araam aur sukun paata hai.

6) Qiyamath me naamaye aamaal seedhe haat me dilaati hai.

7) Pul siraath se bijli ki tarah tezi se guzaar deti hai.

8) Uske liye Jannath ke darwaaze khool diye jaate hai aur Jahannum ke darwaaze band kar diye jaate hai.

9) Malakul mauth uski rooh kabz karne ke liye, aisi shakal me aate hai jiss shakal me Ambiya (Alaihissalaam) ki rooh kabz karte the.

10)  Miswak namaaz ke sawaab ko 70, 99 ya 400 guna badha deti hai.

11)  Miswak me mauth ke siwa har bimaari (marz) se shifa hai.

12)  Sabse badi fazilath Miswak ki ye hai ke, Miswak ko istemaal karne wale se Allah Azzawajal raazi ho jata hai.

Miswak ke mutaliq chand zaroori Batain:

1) Miswak ki motayi chooti ungli ke baraabar ho aur lambayi zyada se zyada ek baalisht ho, ek baalisht se zyada lambi ho to shaitaan sawaar karega.

2) Miswak ko pakadne ka tariqa: chooti ungli Miswak ke niche aur beech ke teen ungaliyan upar aur angotha niche sire par ho.


3) Miswak ko karne ka tariqa: Pehle seedhe taraf upar ke daanto ko Miswak kare, phir ulte taraf bhi upar hi ke daanto par Miswak kare phir seedhe taraf niche ke daanto par phir ulte taraf niche ke daanto par iss tarah kammaz kam 3 baar kare aur har martaba Miswak ko dhoole.

4) Mutti baand kar Miswak na kare iss se bawsiri ho jaane ka andesha hai.


5) Miswak iss tarah khade rakhe ke reshe upar ke jaanib ho.

6) Daanto ke chaudayi me Miswak kare, lambayi me na kare, ke masoode zakhmi hone ka andesha hai.

7) Miswak jab khabile istemaal na rahe uss ko phenk na de, usse kisi jagah ehtiyaat se rakhde ya dafan karde ya samandar me dalde.

8) Miswak ko zameen par daal dene se paagal hone ka andesha hai.

9) Islami behene bhi Miswak kar sakti hai.

10)  Miswak na rahe toh ungli se maanj ne ka tariqa:  Muh ke seedhe(right) jaanib me upar niche angothe se saaf kare aur phir ussi tarah ulte(left) jaanib shahadath ki ungli se kare.

11)  Miswak aadha Wazu hai.

Miswak kab karna sunnath hai:

1)  Wazu me Miswak karna sunnate muakkida hai.

2)  Sote waqt Miswak karna.

3)  Sokar utne(jaag ne) par.

4)  Ghar me dakhil hote hi.

5)  Sote waqt Miswak khareeb rakh kar sona sunnath hai.

6)  Jab bhi muh me badboo hojaye  toh usko door karne ke liye Miswak karna sunnath.

7)  Tilawath karne se qabl.

8) Daurane safar jahan jahan manzil par utre, waha par Miswak karna sunnath.

9) Khana khane ke baad Miswak karna do miskeen gulaam aazaad karne se afzal hai.

10)  Miswak karna sunnath hai jab bhi jichahe Miswak kare sunnath adaa hogi.

11)  Ghar me dakhil hone par aur ghar se bahar nikalte waqt Miswak kare.

Miswak ke Mazeed 6 fazilatein:

1) Miswak karne waalon ko Qiyamath tak hone wale musalmano ki ginti ke baraabar nekiyan ataa ki jayegi.

2) Miswak karne se hafiza tez hota hai aur akal ko badati hai.

3) Miswak se rozi me barkath hoti hai.

4) Miswak nazar ko tez karti hai.

5) Miswak se sar dard door hota hai aur sar ke tamaam ragon ko sukun milta hai.

6) Miswak balgam ko door karti hai aur dil ko paak karti hai.

 Ref: Faizan-e-Sunnat (Old)

0 comments:

Post a Comment