17 Apr 2014

- Allaah Ta 'ala

SAWAAL:  Allah ta’ala ke baarey me kaise aqida rakhna chahiye ?
JAWAAB:  Allah ta’ala ek hai uska koi shareek nahi aasmaan wa zameen aur saari maqluqath ka paida karne waala wahi hai. Wahi Ibaadath ke layiq hai dusra koi Ibaadath ke layiq nahi hai. Wahi sabko rozi deta hai.  Ameeri gareebi aur izzath wa zillath sab uske iqtiyaar me hai. Jise chahta hai izzath deta hai, aut jise chahta hai zillath deta hai. Uska har kaam hikmath hai. Bandon ki samaj me aye ya na aye wa har kamala wa qoobi waala hai. Jhoot, Daga, Qiyanath, Zulm, Zihal wagairah har ayeb se paak hai. Uske liye kisi ayeb ka maan na kufr hai.

SAWAAL:  Kya Allah ta’ala ko budhav kehna jayiz hai ?
JAWAAB:  Allah ta’ala ki shaan me aisa lafz bolna kufr hai.

SAWAAL:  Baaz log kehte hai ki “Upar wala jaisa chahega waisa hoga” aur kehte hai “Upar Allah hai neeche tum ho” ya iss tarah kehte hai ki “Upar Allah neeche panch hai”.
JAWAAB:  Ye sab jumle gumraahi ke hai, musalmaano ko insey bachna nihayath zaruri hai.

0 comments:

Post a Comment