17 Apr 2014

- Khuda-e-Ta'ala Ki Kitabain

SAWAAL:  Khudaye ta’ala ki Kitaabe kitni hai ?

JAWAAB:  Khudaye ta’ala ki choti choti bahut si kitaabe nazil huwi badi kitaab ko kitaab aur choti kitaab saheefah kehte hai, unme chaar kitaabe bahut mashoor hai, 
1) TAURAITH jo Hazrath-E-MOOSA Alaihissalaam par nazil huwi 
2)ZABOOR jo Hazrath-E-DAWOOD Alaihissalaam par nazil huwi 
3) INJEEL jo Hazrath-E-ISA Alaihissalaam par nazil huwi, 
4)QUR’AAN jo hamare Nabi Huzur MUHAMMED MUSTAFA Sallallahu Alaihi Wasallam par nazil huwi.

SAWAAL:  Poora Quraane majeed ek dafa nazil huwa ya thoda thoda ?
JAWAAB: Poora Quraane majeed ek dafa ekhatta nahi nazil huwa balke zaroorath ke mutaabik teyis (23) baras me thoda thoda nazil huwa.

SAWAAL:  Kya Quraan majeed ki har surat aur har aayat par Imaan laana zaruri hai ?
JAWAAB:  Haan Quraan majeed ki har surat par Imaan laana zaruri hai agar ek aayat ka bhi inkaar karde ya yeh ki Quraan jaisa nazil huwa tha aub waisa nahi hai, balki ghata bada diya gaya hai toh woh kaafir hai.

0 comments:

Post a Comment