17 Apr 2014

- Marne ke Baad Zinda Hona

SAWAAL:  Marne ke baad zinda hone ka matlab kya hai ?

 JAWAAB:  Marne ke baad zinda hone ka matlab ye hai ki Qiyamat ke din jab zameen, aasmaan, insaan aur farishtey wagaira sab fana ho jayenge toh fir Khudaye Ta’ala jab chahega Hazrath-E-ISRAFEEL Alaihissalaam ko zinda farmayega who dubara soor Phunkenge, toh sab cheezein moujud ho jayengi.  Farishtey aur Aadmi wagaira sab zinda ho jayenge murde apni apni qabron se uthenge, Hashr ke maidaan me Khudaye Ta’ala ke saamne peshi hogi, Hisaab liya jayega aur har shaks ko achche bure kaamo ka badla diya jayega yaani achcho ko Jannat milegi aur buro ko Jahannam me bhej diya jayega Hisaab aur Jannat wa Dozaq haq hai unka inkaar karne wala kaafir hai.

0 comments:

Post a Comment