5 Apr 2014

- Wazu

Wazu ki Fazilath:
1) Wazu me jo Aza dhute hai us Aza ke gunah girjate hai aur woh Aza Qiyamat ke rooz Suraj se Zyada chamkega.

2) Bawazu Sonewala Roze Rakhkar Ibadath Karne Wale ki Tarha hai.

3) Bawazu Marne wala Shahid hai.

4) Allaah azzawajal Ne Hazrat-e-Musa (Alaissalam) se farmaya “Aye Musa (Alaissalam) Agar bewazu hone ki surat me tujhe koyi musibath pahunche to khud apne aap ko malamath karna.

5) Ala Hazrath Imam Ahmed Raza (Alairahma tu wa ridwan) farmate hai “ Jo Hamesha bawazu rahe, Allaah azzawajal usko 7 fazilaton se musharraf fermata hai
1) Malayika uske suhabath me regabath kare
2) Kalam uske Nekiyan likhta raheta hai
3) Uske Aza tasbi karte hai
4)  Usse takbire ula faut na hogi
5)  Jab soye, Allaah azzawajal kuch farishte bhejkar jin-o-nafs ke shar se uski  hifazath karta hai
6)  Sakhrat ke waqt mout usper Asan hoti hai
7)  Jab tak bawazu Rehega Aman-e-Ilahi me rahega

Wazu ke farayiz:
Wazu me 4 farz hai
  1. Chehera Dhona: chehera yahantak dhona ke,apne balo ki ibteda se leker thuddi ke niche tak aur ek kan ke lov(corner) se leker dusre kan ke lov tak
  2. Apne donu haton ko koniyoun sameth dhona
  3. Chauthayi sarka masa karna
  4. Apne donu pairon ko takhno sameth dhona
Farz use kehete hai jiska karna zarori hai aur uske bagair wazu mukammil hi nahi hota,isiliye jab aap wazu karte hai to zyada ahtiyath rakhkhe ke jo hisse(parts) wazu me dhona farz hai use achchi tarikhe se dhole warna wazu nahi hoga aur jab wazu hi nahi howa to namaz bhi nahi hogi.

Wazu Ki Niyath:
 
"Bismillaahi wal hamdu lillaahi Ata wadda'woo lirafayil hadas"
yun to wazu ki niyatain buhat sari hai, usme se ek ye bhi hai. Apko jo ati hai woh padle magar wazu ki niyath karne se pehle "Bismillaahi wal hamdu lillaahi " kheliya kare kyun ki
Pyare Aqa (swallallaahu alai hi wa sallam) ka farman ka mafum hai  "jo shaks wazu shuru karne se pehle Bismillaahi wal humdu lillaahi" kahega to Allaah azzawajal,use jab tak uska wazu bhakhi rahega tab tak uske namaye amal me pal pal nekiya ata farmayega chahe woh kuch ibaadat kare ya na kare"
dekhiye sirf thudi si tawazzu deker agar hum wazu ki niyat karne se pehle " Bismillaahi wal hamdu lillaahi" kahe to hamare namaye amaal me bhahut sare nekiya milenge

Wazu karte waqt padne wali cheezien:
 
1:Laailaaha illallaaha
Fazilath:
"Jo koyi Wazu karte waqt ye kalmia padega, Allaah azzawajal Wazu ke her qatre ke badle me ek farishta  paida karega, Jo qiyamat tak Kalima padega, Uska sawab us shaks ko milega”

2:Daraood sharif (Swallallaahu alai hi wa sallam)
Fazilath:
"jo ek martaba Darood sharif padega use ek lakh 60 hazar haj ka sawab milega"

3:Ya Qadiro
Fazilath:
"Jo wazu karte waqt Ya Qadiro kahega, Uska dushma use iza nahi pahuncha sakhega"

isililye jab wazu ki niyath karlene ke bad se leker, in cheezon ko is tarteeb se pade,
Laailaha illallaah,Swalallaahu alai hi wa sallam,Ya Qadiru
Laailaha illallaah,Swalallaahu alai hi wa sallam,Ya Qadiru,
……...
tab tak pade ke jab tak apka wazu khatam na hojaye.

Wazu ke sunnate:
1: Niyyath karna
2: Tasmiya (Bismillaah) padh kar shuru karna
3: Dono haatho ko gatton tak teen baar dhona
4: Miswak karna
5: Dahine haath se teen baar kulli karna
6: Dahine haath se teen baar naak saaf karna
7: Daadi ka qilaal karna
8: Haath paawon ki ungliya ka qilaal karna
9: Har Aazu ko teen teen baar dhona
10:Poore sar ka ek baar masah karna
11: Kaano ka masah karna
12: Tarteeb se wazu karna
13: Daadi ke jo baal muh ke dayare ke neeche hai unka masah karna
14: Aaza ko paidar pai dhona (Yani ek aza sukhne se phele dusra aza dhuna)
15: Har makruh baat se bachna.

Wazu ke makruhat:
1: Aurat ke gusl ya wazu ke bache huwe paani se wazu karna,
2: wazu ke liye najis jagah baithna,
3: Najis jagah wazu ka paani girana,
4: Masjid ke andar wazu karna,
5: Wazu ka aaza se(Wazu karna) Bartan me khatre tapkana,
6: Paani me reenth ya khankaar dalna,
7: Qible ke taraf thook ya khankar daalna ya kulli karna,
8: Be zarurat duniyaa ki baate karna,
9: Zarurat se ziyada paani kharch karna,
10: Paani iss qadar kam kharch karna ki sunnat ada na ho,
11: Muh par paani maarna,
12: Muh par paani daalte waqt phunkna,
13: Sirf ek haath se muh dhona,
14: Gale ka masah karna,
15: Baaye haath se kulli karna ya naak me paani dalna,
16: Dahine haath se naak saaf karna,
17: Apne liye koi lota wagaira khaas kar lena,
18: Teen naye paaniyoun se teen baar sar ka masah karna
19: Jis kapde se istinja ka paani khushk kiya ho usse aazaaye wazu pochna,
20: Dhoop ke garm pani se wazu karna,
21: kisi sunnat ko chor dena.

Wazu khatam hone ke baad padne wali cheezain:

1: Kalma-e-Shahadath [1 martaba]: Ash’Hadu Allaah ilaaha illallaahu wahdahoo laa shari kalahoo wa ashhadu anna muhammaden abduhoo wa rasooluh.
Fazilath: Jisne Achchi tarha se wazu kiya aur asmaan ke taraf nighaye utahi aur kalmaye shahadath padha uske liye Jannath ke 8 darwaze khuldiye jate hai, Jis darwaze se chahe us darwaze se ander dakhil hojaye

2: Sura-e-Ikhlas [1 Martaba]: Jisne Wazu khatam hone ke baad ek martaba sura-e-Ikhlas padega uske liye ek munadi nida deta hai, Ke Aye Rahmaan (azzawajal)
ki tarif karne wale ut aur Jannath me dakhil hoja.

3: Sura-e-Qadar:
     a: Jo shaks ek martaba sura-e-Qadar padega, Allaah azzawajal uske 40 saal ke gunah  maaf farmadeta hai
     b: Jo shaks Asmaan ke taraf dekhkar ek martaba sura-e-Qadar padega thou uski nazar kabi kamzoor nahi hogi
     c: Jo shaks 1 martaba sura-e-Qadar padega, woh siddiqeen me se hai aur jo shaks 2 martaba padega, woh shuhada me shumar kiya jayega, Jo shaks 3 martaba padega use Allaah azzawajal maidane meheshar me use Apne Ambiya (Alaissalam) ke sath rakhkhega

4: Allaahummaj Alnee minat tawwaa binaa waj alnee minal muta tahhireen.
Tarjuma-e-Kanzul imaan: Aye Allaah azzawajal Mujhe kasrat se tuba karne walon me banade aur mujhe pakiza rakhne walon me shamil karde.

Wazu ko Tudne Wali Cheezain:
1   1)  Pishab ya paikhana karne se     
     2) Piche ke makam se Hawa khariz hone se
     3)  Khoon ya Peeb nikalkar Us jagah se behene se jo wazu ya gusl me dhuna farz hai
a)    Zakham ka khoon itna puchliye ke agar na puchta to bahajata to wazu tutjayega
b)   Gusht me injection lagane se sirf is surat me wazu tutega jab ke behene ki miqdar me khoon nikle
c)    Glucose wagira ki drop nas me lagwane se wazu tutjayega
d)   Sirinj (injection) ke zariye khoon test karne keliye khoon nikalne se wazu tutjayega
e)    Munh se khoon nikalkar thukper galib hai to wazu tutjayega. Thuk ka rang surkh hojaye to khoon galib samjajayega aur ye surkh thuk napak bhi hai
f)     Khoon pishab ki tarha napak hai.

      4) Muh bharkar Qai (ulti) hojane se
a)    Qai me khana ya pani ya safra (Kadwa pani) rehena zarori hai, sirf balgam raha tho wazu nahi tutega
b)   Jo Qai takalloof ke bagair Na roki jasakhe use muh bhar kar kehete hai
c)    Muh bhara Qai Pishab ki tarha na paak hai uske chiton se bachna chahiye
     5)  Gafil hoker ya take lagakar sone se
6     6)   Behosh hojane se
     7)  Itna nasha chadjane se ke chalne me pawoon lad khadaye
8   8) Pagal hojane se
     9) Dkhukh ti howi ankh se pani behene se
     10)   Namaz me khilkhila kar hasne se 

       a) Muskurana: Sirf labon ko jumbish dena jisme Awaz na nikle
       b) Hasna: Apni Awaz khud sune
       c) Khilkhilakar Hasna (Qaheqa): Apni Awaz dusron ko sunayide
       d) Namaz ki halath me sirf itni awaz se hasa ke khud suna to namaz tutgayi aur wazu baki hai
       e) Namaz-e-Janaza me Qahiqa laga tho Namaz tutgayi, Wazu baki hai
       f) Namaz ke alawa qahiqa lagane se Wazu Nahi jata magar dubara karlena mustahab hai
      g) Hadis me hai Muskurana Allaah azzawajal ki taraf se hai aur Qahiqa Shaitwan ki taraf se hai
      h) Pyare Aqa (Swallallaahu alaihi wa sallam) Ne kabi Qahiqa nahi lagaye.


Wazu ka tarikha:

Wazu shuru karne se phele wazu ki niyath karle: Jise wazu ki niyath Arabi me ati hai woh Arabi me karle aur jise nahi ati hai woh sikhne ki koshish kare aur sikhne tak tho woh apni zuban me karle aur apni  zuban me istarha kare "Ya Allaah main wazu karta hoon  paki hasil karne ke liye" agar hum itna kahe to  wazu ki niyath ho jayegi magar Arabi me karne ki koshish kare kyun ki Arabi me niyath ya dusre duwayein karna woh bhi Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki sunnath hai

Niyath karlene ke bad  apne donu haton ko pahunche (Wrist) tak dholein: agar aap anghoti pehne hai tho ye khas khayal rakkhen ke anghoti ko bhi harkat de,ta'aki anghoti ke  peechewali jo ungalika hissa hai woh bhi bhig jaye kyun ki uska bhi dhona farz hai aur us hisse ko nahi bhigayenge tho hamara wazu nahi hoga aur wazu nahi hoga to hamari namaz bhi nahi hogi kyun ke Pyare Aqa swallallahu alai hi wasallam farmate hai ke "Wazu Namaz ki kunji  hai aur namaz wazu ki kunji hai"

Miswak kare: Apne dono haton ko pahuncho (Wrist) tak dhone ke bad 3 martaba
ß---------------- TODO: hyper Link for miswak topic --------------------------->

Kulli Karen: Garara ke sath kulli kare aur Roze ki halath mein ho tho garare ke sath na kare balke sirf kulli kare,agar roze ke halath mein nahi hai tho garare ke sath hi kulli kare kyun ki garare ke sath kulli karna ye bhi mere Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki pyari sunnath hai.

Naak Saaf Karen: Apne naak ke naram haddi tak 3 martaba pani chadaye aur uske bad naak saaf kare,naak saaf karne ka tarikha ye hai ke apni bayen(left) haath ki kiri (choti) ungli le kar phele naak ki dayen (Right) taraf saaf kare aur phir bayen(left) taraf apne naak saaf karlen.

Chehra Dhoyen: Chehra dhone ka tarikha ye hai ke, phele ek martaba hateinliyon mein pani leker apni peshani ki jagah se bhahaye aur achche tarikhe se mal lein(lagadle) phir 2 martaba aur usi tarikhe se pani bhahaye aur achhi tarah chehra mal lein. jab ham chehera dhote hai to ye ahtiyath rakhkhe ki abro bhi bhigna chayiye aur ankh ke palkhe aur palkhon ke upar wala hissa her jaga bhigna chayiye warna hamara wazu nahi hoga isiliye jab aap chehera dhote hai to achchi tarikhe se mal lein, aur chehera dhone ke bad apne dadi(beard) ka khilal karen. Dadi ka khilal karne ka tarikha ye hai ke phele apne aage ke janib pani bhahaye, phir daayen (right) janib aur phir bayen(left) janib bhahaye aur pani bhahakar acchi tarikhe se lagadlein. Is baat ka khas khayal rakhkhe ke dadi ke balon ki jad tak pani pahunche

Haath Dhoyen: 3 martaba apne dono hathon ko koniyoun sameth dhoye. Phele sidha(right) hath dhoye aur phir bayen(left). Jab aap sidha(right) hath dhote hai to phele ek martaba pani bhahaye aur apne hath ko acche tarikhe se ragadle(malle) aur phir 2 martaba pani bhahaye aur phir usi tarha bayan hath dhoye,phele ek martaba pani bhahaker acche tarikhe se apne hath ko ragadle,phir 2 martaba pani bhahaye,ye tha hathon ko dhone ka tarikha,apne dono haton ko dhone ke bad pure sarka masa kare

Sar ka Masa Karna: Pehle apne haton mein pani le lein aur apne dono haton ko teen hisson mein baant lein.
Pehla hissa Kiri (Choti) Ungali, beech wali ungali aur ungoothi wali ungali, in teen ungaliyon ko ek hissen mein baant lein.
Dusra hissa  apni shahadath ki ungali
Teesra hissa apna Ungootha.
Iske baad sar ka Masa karen. pehle apne haton ke pehle hisse se (Teen Ungaliyon se) apne sar ke uper ke hisse ko (Jahan se bal shuru hote hein) peeche tak mal lein. phir apni hatheliyon se sar ke dono side ke balon ko peeche se lekar aage tak malein. Uske baad Dusra hisse (Shahadath ki Ungali) se apne kanorn ke ander saaf karen. Phir teesra Hisse(Anghootthe) se apne kaan ke uper masa karen aur akhir apne hatheliyon ki peet se (back side of your Palm) gale ke pichle hisse ka masa karen.

Pair Dhoyen: Donu pairo ko takhno sameth dhoye, phele sidha (right) pair dhoye aur phir bayan(left) pair dhoye. Jab ap sidha(right) pair dhote hai tho pair ke ungaliyoun ka khilal is tarah karen ke apni bayean(left) haath ki kiri(choti) ungli leker pair ki har ungli ke darmiyan 3-3 bar khilal karen (Pair ki choti ungli(kiri ungli) se shuru karte huea  tarteeb se unghootthe per khatam karen). Aur usi tarha apna bayen(left) pair ko bhi dhoye (Bayen pair ke anghootthe se shuru karte huea tarteeb se choti ungli per khatam karen).Aur jab aap pair dhote hai to ye zyada ahtiyath rakhkhe ke pair ke talwe ko bhi pani pahunchna chayiye aur agar apke pairon ki yediyean phati hai (yani krack pade hoo) to achche tarha se ragad kar pani bahaye agar waha pani nahi pahuncha tho hamara wazu qubul nahi haga. Aur jab wazu hi qubul nahi hoga to hamari namaz bhi qubul nahi hogi.
Donu pair ko dholene ke baad apne donu hathon ko pahunchotak dhoye aur qibla rookh hoker kalmaye shahadath pade(2 kalma).

Chand Zarori Batain:

    1)   Musta ‘Amal (Istemaal Shuda Na hoo): Agar Bewazu ka hath ya ungali ya pura nakhoon ya badan ka koyi tukkada jo wazu me dhuya jata hoo, Jaan bhujkar ya bhool kar Dahdardah se kam pani me padjaye tho pani Musta’Amal hojayega aur ab wazu ya gusl ke layeq na raha.

       a)    Musta’Amal Pani phir se istarha Amal me lay eke Paak pani usme itna dale ke usme se  pani bhahajaye

     2)   Dahdardah: Woh House Ya talab jiski kul lambayi aur chaudayi ka hasil zarab 100 hath   hoo, woh dhadardha kehelata hai. Agar gool hoto golayi takriban 35.5 hath hoo aur gherayi itni kafi hook e itni sath me kahise zamin khuli nahoo
     
     a)    Dahdardah me Najasath padne se pani napak  na hoga jabtak ke najasath ke wajese Rang ya Boo ya Maza na badal jaye

      b)   Bade house me aisi najasath padi jo nazar na aye jaise sharab, pishab to isme her taraf se wazu kar sakhte hai aur agar dekhne me ayi jaise pakhana, murda janwar tho dusre taraf se wazu kare


    3)   Namaz ke halath me donton me kuch atke rehene ke nuqsanath:

     a)    Hadis sharif me hai “ Jab Banda Namaz me khada hota hai tho farishta uske Muh per apna muh rakhta hai, ye jo padta hai iske Muh se nikal kar farishte ke muh me jata hai us waqt agar khane ki koyi shai iske daton me hoti hai tho malayika ko use aisi sakht izaa hoti hai ke aur shai se nahi hoti.

     b)   Hadis sharif me hai farishton per isse zyada koyi cheez gira nahi ke who apne sati ko namaz padta dekhe aur iske daton me khan eke reze phase hoo
Wazu ka shar’an Mazur: Kisi ko istarha ka marz musalsal jari raha ke wazu ke sath Namaz farz ada na karsakhta hoo use wazu ka shar’an mazur kaha jata hai.
a)    Ek wazu se us waqt me jitni namazain chahe pade iska wazu us marz se nahi
tutega
b)   Farz namaz ka waqt jate hi mazoorka wazu jata rahata hai agar uzur zahir na howa ya koyi hadas na howa hoo tho wazu na tutega
c)    Mazoor ke wazu is cheez se nahi jata jiske sabab mazoor hai agar dusra koyi
cheez wazu tudne wali payigayi to wazu jata raha
d)   Mazoor ko aisa uzoor hoke jiske sabab kapde napak hoo jate hai tho agar dirhum se zyada napaak hogaye aur janta hai ke itnaa muqa hai ke use dhukar paak kapde se namaz padlega tho pak karke namaz panda farz hai aur agar janta hai ke namaz padte padte phir itna hi napaak hojayega tho ab dhuna zarori nahi isi se pade agarch musalla bhi aludha hojaye tab bhi iski namaz hojayege.

       1)   Apna ya paraya ka sitar ya ghutna dekhne se wazu nahi tuttha magar dekhne se parez kare kyun ke dekhna gunahhai
       2)   Ek din ka doodh pite bachche ka pishab hi napak hai
       3)   Doodh pite bachche ne doodh daldiya aur who muh bhar kar hai tho ye bi pishab ki tarha napaak hai
     4)   Kutta jism chujane se wazu nahi tutta
     5)   Kutte ka lu’aab napaak hai
     6)   Khinzir ka naam lene se wazu nahi tutta
     7)   Daurane wazu hawa khariz hogayi ya kisi sabab wazu tut gaya tho naye se wazu kare aur agar hath me pani hoto us pani ko gira de
     8)   Quran paak ya iski kisi ayath ko, kisi bhi zuban me, quran-e-pak ka tarjuma ho, usko bewazu chuna haramhai
     9)   Ayath ko be chuye dekhkar ya zabani bewazu padne me koyi haraj nahi
     10) Wazu ka bacha howa pani khade hoker, qibla rukh hoker piye, isme shifa hai
     11) Aainak (mirror) dekhne se wazu nahi tutta
     12) Ghar me jhadu lagane se wazu nahi tutta

Reference: Kanoon-e-Shariat, Risala (Wazu ka tarika), Faizan-e-Sunnat (Old edition)
         

1 comments:

Abdul Rauf said...

Salam! here you can download Istinja ka Tariqa, a most authentic and renowned Islamic Book.
http://www.dislamicbooks.com/2015/10/download-istinja-ka-tariqa-by-maulana.html

Post a Comment