17 Apr 2014

- Faishtey

SAWAAL:  Faishtey Kya cheez hai ?
JAWAAB:  Faishtey Insaan ki tarah maqluq hai, lekin woh noor se paida kiye gaye hai. Na who mard hai, na woh aurat hai, na kuch khate hai, na kuch peete hai, jitne kaam khudaaye ta’ala ne unke sipurd kiya hai usi me lage rehte hai. 

Kuch Farishtey Bandon ka achcha bura amal likhne par muqarar hai jinko KIRAAMAN KAATIBEEN kaha jata hai. 

Kuch Farishtey Qabr me murdon se sawaal karne par muqarar hai jinko MUNKAR NAKEER kaha jata hai. 

Aur kuch Farishtey Huzur Sallallahu Alaihi  Wasallam ke darbaar me musalmaano ke darood wa salaam pahunchane par muqarar hai. 

Unke alaawa aur bhi bahut se kaam hai unme chaar Farishtey bahut mashoor hai, 
1) Hazrath-E-JIBRAEEL Alaihissalaam jo Allah ta’ala ke Ahekaam paigambaro tak pahunchate hai. 
2) Hazrath-E-ISRAFEEL Alaihissalaam jo Qiyamat ke din soor Phunkenge. 

3)Hazrath-E-MIKAEEL Alaihissalaam jo Paani barsane aur Rozi pahunchane par muqarar hai. 

4)Hazrath-E-IZRAEEL Alaihissalaam jo logon ki Jaan nikaalne par muqarar hai. 

Jo shaks yeh kahe Farishta koi cheez nahi ya yeh kahe ki Farishta neki ki kuwwat ka naam hai too woh kaafir hai.

0 comments:

Post a Comment