17 Apr 2014

- Qiyamath

SAWAAL:  Qiyamat kise kehte hai ?

JAWAAB:  Qiyamat uss din ko kehte hai jis din Hazrath-E-ISRAFEEL Alaihissalaam soor Phunkenge, soor seeng ke shakal ki ek cheez hai jiski aawaaz sunkar sab aadmi aur tamaam jaanwar mar jayenge, zameen, aasmaan, chand, sooraj aur pahaad wagairah duniya ki har cheez toot foot kar fanaa ho jayegi yaha tak ki soor bhi khatm ho jayega aur Hazrath-E-ISRAFEEL Alaihissalaam bhi fanaa ho jayenge yeh waqiya Muharram ki Dusvi tariq Juma ke din hoga.

SAWAAL:  Qiyamat ki kuch nishaaniya bayan kijiye ?
JAWAAB:  Jab duniya me gunah ziyada hone lage, ‘Haraam’ Kaamo ko loog khullam khulla karne lage, Maa Baap ko takleef de, aur Gairon se mail jhol rakhe, Amaanath me qiyanath kare, “Zakath dena loogon par gira guzre”, Duniya hasil karne ke liye Ilm-e-deen padha jaye, “Naach gaane ka rawaaj ziyada ho jaye”, Badkaar loog qaum ke peshwa aur leader ho jaye, Charwaahe wagairah kam darje ke loog badi badi buildingon aur kotiyon me rehne lage, toh samajh lo ki Qiyamat qareeb aagayi hai.

SAWAAL:  Jo shaks Qiyamat ka inkaar kare uske liye kya hukm hai ?
JAWAAB:  Qiyamat qayim hona haq hai, usko inkaar karne wala kaafir hai.

0 comments:

Post a Comment