17 Apr 2014

- Taqdeer

SAWAAL:  Taqdeer kise kehte hai ?
JAWAAB:  Duniya me jo kuch hai aur bande jo kuch bhalayi burayi karte hai Khudaye Ta’ala ne usse apne Ilm ke muafiq pehle se likh diya hai usse Taqdeer kehte hai.

SAWAAL:  Kya Allah Ta’ala ne jaisa hamari Taqdeer me likh diya hai hame majburan waisa karna padhta hai ?
JAWAAB:  Nahi Allah Ta’ala ke likh dene se hame majburan waisa karna nahi padhta hai, balke hum jaisa karne waale the Allah Ta’ala ne apne Ilm se waisa likh diya agar kisi ki Taqdeer me burayi likhi toh iss liye ki woh burayi karne wala tha, agar woh bhalayi karne wala hota toh Khudaye Ta’ala uski Taqdeer me bhalayi likhta khulasa ye ki Khudaye Ta’ala ke likh dene se banda kisi kaam ke karne par majbur nahi kiya gaya.  Taqdeer haq hai uska inkaar karne wala gumrah budmazhab hai

0 comments:

Post a Comment