17 Apr 2014

- Gusl

Gusl farz hojane per fouran gusl na karne ke nuksanaath:

1)   Hadeese paak me aata hai “Farishte uss ghar me dakhil nahi hote jis ghar me Tasveer, Kutta aur Junub (jiss per Gusl farz) ho.

2)   Taajdare Madina Swallallaahu ta’ala alaihi wa swallam farmate hai “Jisne 3 cheezon ko hifazath kiya usse Allah azzawajal apna dost rakhega aur jisne inn 3 cheezon ko zaya kiya usse apna dushman rakhega, woh 3 cheezain ye hai.
1) Namaaz
2) Roza
3) Janabath-e-Gusl yaani Gusl farz hone per fauran Gusl na karne wala.

3)   Hadees: “Paaki aadha imaan hai”.

4)   Gusle janabath me deir kardena gunah hai albatta itni taaqir haraam hai ke namaaz ka waqt nikal jaye.
Bahare Shariyath me hai : “Jiss par Gusl wajib hai how agar itni deir kar de ke namaaz ka aakhir waqt agaya toh aub fauran nahana farz hai, aub taqhir karenge gunahgaar hojayenge.

Janabath ki haalath me sone ke ahakaam:

      Hazrath Sayyidina Abu Salama Raziyallahu ta’ala anhu kehte hai: Ummul Mu’amineen Hazrathe Sayyidituna Ayesha Siddiqa radiyallhu ta’ala anha se pucha ke; nabiye rahamat, shafiye ummat, shahinshaye nabuwat, tajdare risalat Swallallaahu ta’ala alaihi wa swallam janabat ki haalath me sote the ?
Unhone bataya: “han, aur Wazu farma letey the”. Raath me kabhi janabath hojathi hai, toh kya kiya jaye ?
Rasoolullah Swallallaahu ta’ala alaihi wa swallam ne farmaya: Wazu karke aazue khaas ko dhookar sojaya karo.

Gusl farz hone ke 5 asbaab:

1)  Mani ka apni jageh se shehwat ke saath juda hokar maqhraj se nikalna. (Apne aap shehwat ke sath mani nikalna[Mushtzani karna])

2)  Ehtelaam yaani sote me mani ka nikal jaana.

3)  Biwi se hambistari karne se, Dono par gusl farz hota hai. (Hashfa yaani sare zakar(supari) ka aurath ke aage daqhil hojana qhwa shehwat ho ya na ho, inzaal ho ya na ho dono par Gusl farz karta hai. Bashart ke dono mukhalaf ho aur agar ek baalig hai toh uss baalig par farz hai aur nabaalig par agarche Gusl farz nahi magar Gusl ka hukm diya jayega.

4)  Haiz se farig hona.

5)  Nifaas (bachcha janne par jo khoon aata hai) iss se faarig hona. 

GUSL kab farz nahi hota hai

1)   Mani shehwat ke saath apni jageh se juda na huwi balke boojh uthane, ya bulandi se girne, ya fuzlah khaarij karne keliye zoor lagne ki surath me khaarij huwi toh Gusl farz nahi huwa, Wazu toot jayega.

2)   Mani patli padgayi aur pishaab ke waqt ya waise hi bila shehwat iske qatre nikal aaye Guls farz na huwa Wazu toot jayega.

3)   Agar Ehtelaam hona yaad hai magar uska koyi najaasath kapde wagaira per nahi toh gusl farz nahi.

4)   Namaz may shehwat thi, mani utarti huwi maalum huwi magar baahar nikalne se qabl hi namaaz poori karli, aub khaarij huwi toh namaaz hogayi magar aub Gusl farz hogaya.

5)   Musht zani ka kaam karna haraam hai, Hadeese paak me aisa karne wale ko maloon kaha gaya hai.

Mushtzani [Handjob] Karna Gunah-e-Kabira hai

1)   Musht zani karne se mardana kamzoori paida hoti hai aur baarha dekha gaya hai ke bila aakhir shaadi ke layiq nahi rehta.

2)   Aalahazrath alaihi rehmatu wa ridwan farmate hai: “Musht zani karne wale ki hateliyan meheshar me haamilah utengi”.

3)   Musht zani se bachne ka tariqa ye hai ke, “Lahaul sharif ki kasrath kare”.

4)   Namaaze panjgana ke kasrath kare aur namaaze fajr ke baad Sura-e-Iqhlas ka vird rakhe.

Gusl ki Niyat

1) “Nawaitu unn agtasila min guslil Hadas”.

Note:  
1) Lafze hadas ke jagah, jo Gusl kar rahe hai woh kahe, maslan agar juma ka Gusl kar rahe ho toh youn kahe, “Nawaitu unn agtasila min guslil Juma”.

2) Agar janabat ka ho toh youn kahe, “Nawaitu unn agtasila min guslil Janabat”.

Gusl ke Farayiz 
Gusl me 3 Farz hai:
1) Kulli karna
2) Naak me paani chadhana
3) Tamaam badan par paani bahana 

1)   Kulli  Karna:

1)   Muh ke har purze, goshe, hont se halq ke jad tak har jagah paani bahjaye, masoode, daant ki khidkiyan zabaan ki har karwat me halq kinare tak paani bahjaye.

2)   Roza na ho toh garaara bhi kare, ke ye sunnath hai.

3)   Daanto me kuch atka ho toh nikaalna zaruri hai.

4)   Gusl se qabl daanto me reshe wagaira na ho, aur rahgaye Namaaz bhi padhli, baad me maalum hone par nikaal kar paani bahaana farz hai, jo Namaaz padhi thi woh hogayi. 

2)   Naak me paani chadhana:

1)   Naak ke naram haddi ke shuru tak paani chadhana chahiye aur ye youn ho sakega ke paani ko soong kar upar khinche aur ye khayaal rakhe ke baal baraabar bhi sukha na rahe warna Gusl nahi hoga.

2)   Naak ke andar agar raint sukhgayi hai toh uska nikaalna farz hai.

3)   Naak ke baalon ko dhoona bhi farz hai. 

3)   Tamaam zahiri badan par paani bahaana:

1)   Sarke baalon se lekar, paawon ke talwon tak, jism ke har purze aur har har ronkte par paani bahaana zaruri hai.

2)   Bhawoon, muchon aur daadhi ka har baal ka jad se nook tak aur unke niche ki khaal ka dhoona zaruri hai.

3)   Naaf me bhi paani dale, agar paani behene me shak ho toh naaf me ungli daal kar dhoye.

4)   Zaqham par patti wagaira bandhi ho usse kholne me nuqsaan ya haraj ho toh patti par hi masa’a karlena kaafi hai.

5)   Patti zarurath se ziyada jagah ko ghere na ho warna masa’a kaafi na hoga.

Note: 
1) Wazu me jo baatein sunnath aur mustahab hai wahi Gusl me bhi hai.

2) Gusl me tehband bandh kar nahana sunnath hai, tehband paak hona chahiye.

3) Naaf se lekar ghutno tak ke hisse ko dhoolena sunnath hai.

4) Gusl me wazu karna sunnath hai.

Behte paani se Gusl ka tariqa:

1)   Agar baithe paani maslan dariya ya nahar me nahaya toh thoodi deir ussme rukne se 3 baar dhoone, tarteeb aur Wazu ye sab sunnatein adaa hogayi, iss me ye bhi zarurath nahi ke aaza 3 baar harkat de.

2)   Agar talaab wagaira there paani me nahaya toh 3 baar harkat dene ya jagah badalne se tarteeb yaani 3 baar dhoone ki sunnath adaa ho jayegi.

3)  Barsaath me ya nal ya fauwwara(Shower) ke niche khade hona baithe paani me khade hone ke hukm me hai.

4)  Baithe paani me Wazu keliye, thoodi deir ussme aaza ko rehene dena aur tehre paani me harkat dena.

5)  Wazu aur Gusl ki inn tamaam suratoun me kulli karna aur naak me paani chadhana padega.

6)  Fauwwara(shower) ho toh usse achchi tarah dekhe ke uski taraf muh karke nange nahane me muh ya peeth qiblah sharif ki taraf toh nahi.

7)  Logon ke saamne sitar khoolkar nahana haraam hai.

8)  Satre aurat(naaf se lekar ghutno tak) ko dekhne wala aur dikhane wala doono gunehgaar hai, iss se hafiza kamzoor hota hai.

9)  Satre aurat har mard aur aurat se chupana hai, biwi, maa, behen inn se bhi chupana hai.

10)  Hamaam me tanha nange naha rahe ho toh qible ke taraf muh ya peeth na rahe.

11)  Zukhaam ya koyi marz ho aur ye gumaan sahi ho ke sar se nahane me marz badh jayega toh kulli kare, naak me paani chadhaye aur gardan se nahaye aur sarke har hisse par bhiga huwa haat pher lijiye Gusl ho jayega baad sehath poora Gusl sar se karna zaruri hai. 

12)  Agar baalti ke zariye Gusl kare toh ehtiyaatan usse stool wagaira par rakhe taake baalti me cheente na aaye, nez Gusl me istemaal karne ka loota(jug) bhi farsh par na rakhe.

13)  Baal me giri(Gaant) pad jaye toh Gusl me usse khulkar paani bahana zaruri hai.

14)  Jiss paani me thodi si koyi paak cheez milgayi jaise gulaab, kewda, zaafraan wagaira toh usse Wazu ya Gusl kar sakte hai.

15)  Koyi rang ya zaafraan paani me itna padhgaya ke kapade rang hi ke qabil hojaye toh usse Wazu ya Gusl jayiz nahi.

Napaak ke haalath me kya kaam Na kare:

1)   Masjid me jaana, Tawaaf karna, Qur’aan paak chuna, Bechuye zabaani padhna, kisi aayath ko likhna ya tamaam kaam haraam hai.

2)   Agar Qur’aan paak juzdaan me ho toh bewazu ya begusl juzdaan par haat lagane se haraj nahi.

3)   Issi tarah kisi aise kapde ya rumaal wagaira se Qur’aan paak pakadna jayiz jo apne taabi’a ho na Qur’aan paak ke.

4)   Kurt eke aasteen, dupatta ka aanchal se yahan tak ke chadar ka ek kona iske khande par hai chadar ke dusre kone se Qur’aan paak ko chuna haraam hai ke ye sab cheez iske taabiye hai.

5)   Qur’aan paak ki aayath dua ki niyyat se ya tabaruk ke liye padh sakte hai, ex: Bismillah for eating and Alhamdulillah for sneezing.

6)   3 Qul. Bila lafze Qul baniyyate sana padh sakte hai lafze Qul ke saath sana ki niyyat se bhi nahi padh sakte.

7)   Bewazu Qur’aan ko ya kisi aayath ko chuna haraam hai, bagair chuye zabaani ya dekh kar padne me muzaayaqa nahi.

8)   Jis bartan ya kothare par sura ya aayathe Qur’aani likhi ho bewazu aur begusl ko iska chuna haraam hai, shifa ke niyyat se paani wagaira daal kar pi sakte hai.

9)   Qur’aane paak ka tarjuma, kisi zubaan me ho usko bhi padhna ya chune me Qur’aane paak hi ka hukm hai.

10)  Bewazu ya begusl deeni kitaabein chuna makruh-e-tanzihi hai.

11)  Jin par Gusl farz ho unko darood sharif aur duayein padhne me haraj nahi, magar behtar ye hai ke Wazu ya kulli karke padhe.

12)  Azaan ka jawaab dena jayiz hai, yaani begusl azaan ka jawaab desakte hai.

Note: 
·   Gusl khane me peshaab karne se rozi me tangdasti hoti hai aur wasswasa paida hote hai.
·   Jisspar chand Gusl ho maslan Eid, Ehtelaam toh dono ki niyyat karke, ek Gusl karle sab adaa hogayi aur sab ka sawaab milega.
·   Paani me doodh padh gaya, ke paani doodh jaisa rang hogaya toh Wazu ya Gusl jayiz nahi.

Kab Gusl karna sunnath:
1) Juma

2) Eidul fitr aur Eidul zuha

3) Arfa ke din yaani 9 Zul Hajja

4) Ehraam baandte waqt.


Bachcha kab baalig hota hai ?

1)  Ladke ko 12 se 15 saal ki umr ke dauraan aur ladki ko 9 se 12 saal ki umr ke dauraan, jab pehli baar ehtelaam ho, baalig hogaya.

2)  Ehtelaam ke zariye baalig hone ki surath me innper Gusl farz hogaya.

3)  Agar koyi alaamath na paayi gayi toh dono ladka aur ladki 15 saal ki umr me baalig mana jayega.

Note:  Baalig hone par Namaaz-e-panchgana aur Roza farz ho jata hai.


Reference: Kanoon-e-Shariat, Risala (Gusl ka tarika).


0 comments:

Post a Comment