17 Apr 2014

- Hamare Nabi

SAWAAL:  Hamare Nabi koun hai ? Unka kuch haal bayan kijiye ?

JAWAAB:  Hamare Nabi Hazrath MUHAMMED MUSTAFA Sallallahu Alaihi  Wasallam hai, jo 12 Rabiul Awwal Mutaabik 20 April sun 571 EO me Makka shareef me paida huwe unke walid ka naam Hazrath-E-Abdullah aur waalida ka naam Hazrath-E-Aamina Radiallahu Ta’ala Anhuma hai.  Aap ki zahiri zindagi Tirsat (63) baras ki huwi, Tirpan (53) baras ki umr tak Makka shareef me rahe fir dus saal Madeena Taiba me rahe 1 ya 2 Rabiul Awwal sun 632 EO zahiri zindagi me wafaath paayi, Aapka mazare mubaarak Madina shareef me hai.  Jo Makka shareef se takreeban 320 km uppar hai.

SAWAAL:  Hamare Nabi ke kuch khubiya bayan kijiye ?
JAWAAB:  Hamare Nabi Sayyidul Ambiya aur Nabiul Ambiya yani Ambiyaikiram ke Sardar hai aur tamaam Ambiya Huzur ke Ummathi hai.  Aap Qatimun Nabiyeen hai, yani aap ke baad koi Nabi nahi paida hoga.  Jo shaks aap ke baad Nabi hone ko jayiz samjhe woh kaafir hai.  Saari Maqluqath Khudaye Ta’ala ki Raza chahti hai, aur Khudaye Ta’ala Huzur ki Raza chahta hai. Huzur ki farmabardari Allah Ta’ala ki farmabardari hai.  Zameen wa aasmaan ki saari cheezein aap par zahir thi duniya ke har goshey aur har koney me Qiyamat tak jo kuch hone wala hai.  Huzur usse iss tarha mulahiza farmate hai, jaise koi apni hatheli dekhe, upar, neeche, aage aur peeche yaksa dekhte hai.  Aap ke liye koi cheez aad nahi ban sakthi Huzur jaante hai ke zameen ke andar kaha kya ho raha hai, khushu jo dil ki ek kaifiyath ka naam hai, Huzur usse bhi mulahaza farmate hai, hamare chalne, firne, uthne, baithne, khane peene wagaira har khaul wa fail ki Huzur ko har waqt qabar hai.

SAWAAL:  Kya hamare Nabi zinda hai ?
JAWAAB:  Hamare Nabi aur tamaam Ambiya-e-karam alaihissalaam zinda hai.  Hadees shareef me hai ke sarkare akdas sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki Khudaye Ta’ala ne zameen par Ambiya-e-karam alaihissalaam ke jismon ko khana haraam farmadiya hai. Toh Allah ke Nabi zinda hai rozi diye jaate hai. (Mishkath Shareef 121 P).

SAWAAL:  Jo shaks Ambiya-e-karam ke baare me kahe ke marker mitti me milgaye toh uske liye kya hukm hai ?
JAWAAB:  Aisa kehne wala gumrah budmazhab khabees hai.

0 comments:

Post a Comment