16 Apr 2014

- Shirk aur Kufr

SAWAAL: Shirk kise kehte hai ?
JAWAAB: Khudaye Ta’ala ki Zaath wa Sifaath me kisi ko shareek tehrana Shirk hai. 
Zaath me shareek tehrane ka matlab yeh hai ke do (2) ya do (2) se ziyada khuda maane jaise Isaayi teen (3) khuda maan kar mushrik huwe. 
Aur sifaath me shareek tehrane ka matlab yeh hai ki Khudaye Ta’ala ki sifaath ki tarah kisi dusre ke liye koi sifaath saabith kare maslan sunna aur dekhna wagaira jaisa ki Khudaye Ta’ala per saabith hai, usi tarha kisi dusre ke liye sunna aur dekhna wagaira zaathi tour par maane ki bagair Khuda ke diye usse ye sifaathein khud hasil hai, toh shirk hai aur agar kisi dusre ke liye atayi tour par maane ke Khudaye Ta’ala ne usse ye sifaatein ataa ki hai toh shirk nahi jaisa ki Allah Ta’ala ne khud insaaf ke bare me Paara 29 Ruku 19 me farmaya jiska tarjuma ye hai ki hamne insaan ko sunne wala dekhne wala banaya.

SAWAAL: Kufr kise kehte hai ?

JAWAAB: Zaruriyate deen me se kisi ek baat ka inkaar karna Kufr hai. Zaruriyate deen bahuth hai unme se kuch ye hai 
- Khudaye Ta’ala ko ek aur waajibul wajood maanna 
- Uski zaath wa sifaath me kisi ko shareek na samajhna, 
- Julm aur jhoot wagaira tamaam uyoob se usko paak maanna, 
- Uske malaika aur uski tamaam kitaabo ko manna 
- Quraan majeed ki har aayat ko haq samajhna
- Huzur Sayyade Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam aur tamaam Ambiyaa -e-kiraam ki nuboowath ko tasleem karna un sabko azmath wala jaanna, unhe zaleel aur chota na samajhna unki har baat jo qatayi aur yakhini taur par saabith ho usse haq jaanna 
- Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ko Qatimun Nabiyeen maanna unke baad kisi nabi ke paida hone ko jayiz na samajhna, 
- Qiyamat, Hisaab wa kitaab aur Jannat wa Dozaq ko haq maanna, 
- Namaaz wa Roza aur Haj wa Zakaat ki farziyaat ko tasleem karna, 
- Jina, Chori aur Sharaab noshi wagaira haraam qatayi ki hurmat ka itiqaad karna aur kafir ko kafir jaanna wagaira.

SAWAAL: Kisi se Shirk ya Kufr ho jaye toh kya kare ?

JAWAAB: Touba aur tajdeede Imaan kare biwi wala ho toh tajdeede nikha kare aur mureed ho toh tajdeede baiyyat bhi kare.

SAWAAL: Shirk aur Kufr ke alawa koyi dusra gunah ho jaye toh maafi ki kya surath hai ?

JAWAAB: Touba kare Khudaye Ta’ala ki baargah me roye gid gidaye apni galti par naadim wa pasheema ho aur dil me pakka ahad kare ke aub kabhi aisi galti na karunga, sirf zuban se touba touba keh lena touba nahi hai.

SAWAAL:
Kya har qism ka gunah touba se maaf ho sakta hai ?

JAWAAB: Jo gunah kisi bande ki haqta’lafi se ho maslan kisi ka maal gazab kar liya, kisi par tohmath lagayi ya zulm kiya toh inn gunahon ki maafi ke liye zaruri hai ki pehle uss bande ka haq wapis kiya jaye ya usse maafi maangi jaye, fir Khudaye Ta’ala se touba kare toh maaf ho sakta hai. 
Aur jis gunah ka taalluq kisi bande ki haqta’lafi se nahi hai balki sirf Khudaye Ta’ala se hai, uski do qisme hai ek who jo sirf touba se maaf ho sakta hai jaise sharaab noshi ka gunah aur dusre who jo sirf touba se maaf nahi ho sakte hai jaise namaazon ken a padhne se gunah iske liye zaruri hai ki waqt par namaazon ke ada na karne ka jo gunah huwa usse touba kare aur namaazon ki qaza padhe agar aaqiri umr me kuch qaza reh jaye toh unke fidiyah ki wasiyat kar jaye.

0 comments:

Post a Comment