22 Jan 2014

- Lab Pe Naat e Paak ka naghma kal bhi ta aur aaj bhi he


Lab pe Naat e Paak ka naghma kal bhi ta aur aaj bhi he
Meri Nabi se mera rishta kal bhi ta aur aaj bhi he 


Past woh kaise hosakta he jis ko Haqq ne buland kiya
Dono jahan me Unka charcha kal bhi ta aur aaj bhi he 

Aur kissi jaanib kyu jaaye aur kissi ko kyu dekhe
Apna sab kuch Ghumbade Khazra kal bhi ta aur aaj bhi he 

Fikr nahein he hum ko kuch bhi dukh ki dhoop ghari to kya
Hum par unke fazl ka saaya kal bhi ta aur aaj bhi he 

Batla do Ghustaaq Nabi ko ghairat Muslim zinda ho
Deen pe mar mitne ka jazba kal bhi ta aur aaj bhi he 

In ke Dar se sab ho aaye jaana saka to ekh sabhi
Ye ke ekh Tasweer tamanna kal bhi ta aur aaj bhi he

0 comments:

Post a Comment