21 Jan 2014

- Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumaar


Ya Rasulallah karam, Ya Habiballah karam,
Ya Rasulallah karam, ho niga he karam

Ho karam sarkar ab to ho gaye gham beshumaar

Jaan-o-dil tum par fida e, do jahan ke tajdaar

Mein akela aur masa’il zindagi ke beshumar,
Aap hi kuch kijiye na, aie Shahe-aali-waqar

Yaad aata he tawaaf e Khaana Kaaba mujhe,
Aur lipatna Multazam se walihana baar baar

Jaraha he kaafila Taiba nagar rota huwa,
Mein raha jata hoon tanha e Habib-e-kird e gaar

Jald phir tum lo bula, aur Sabz Gumbad do dikha,
Hazari ki arzoo ne kar diya phir beqarar

Choom kar Khaaqe Madina, jhoomta phirta tha mein,
Yaad aate hain Madine ke mujhe lailonahar

Ghumbade Khazra ke jalwe aur woh iftaria,
Yaad aati he bohot Ramzan e Taiba ki bahar

Ya Rasulallah, sun lijiye meri faryaad go,
Kon he jo be sune Tere siwa meri pukaar

Haal par mere karam ki ik nazar farmayi e,
Dil mera ghamgeen mile he ghamzadon ke ghamgusar he

Kafile waalo suno, yaad aaye to mera salaam,
Arz karna rote rote ho sakeh to baar baar

Ghamzada yun na hua hota Ubaid-e-Qadri,
Is baras bhi dekhta har Sabz Gumbad ki bahar

0 comments:

Post a Comment