20 Jan 2014

- Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo,

Falak ke nazaro zameen ki baharo,
Sab Eid manao Huzoor agaye hein.


Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,
Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Uttho be karao, chalo be saharo,
khabar ye sunao Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,
Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Anokha niraala woh zee shaan ayaa,
Woh sare Rasulon ka Sultan ayaa,
Areh baadshaho areh kaj kula’ho,
Nigahe jhukao Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,
Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Sama he sana e Habeeb e Khuda ka,
Yeh Milad he Sarware Ambiya ka,
Nabi ke ghadao, sab ek dusre ko,
Mubarak ye sunao, Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,
Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Huwaa char su Rahmaton ka ba’sayra,
Ujaala ujaala, sawera sawera,
Halima ko pohnchi khabar Aminah ki,
Mere ghar mein khair ul wara agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,
Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Kahaan mein Zahuri, kahaan unki baatein,
Karam hi karam hein, ye din aur raatein,
Jahaan pe bhi jaao, dilon ko jagao,
Yah kehte hi jaao, Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,
Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

Hawa-o mein jazbaat hein Marhaba ke,
Fiza-o mein naghmaat Salle Alla ke,
Duroodon ke gajre salaamon ke tohfe,
Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hein.

Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein,
Huzoor agaye hein, Huzoor agaye hein.

0 comments:

Post a Comment