21 Jan 2014

- Jahan Roza e Pak Khair ul Wara Hai


Jahaan rawza e paak e Khairul Wara hai
Wo jannat nahi hai to phir aur kya hai
Kahaan mai kahaan yeh Madine ke galiyaan
Yeh qismat nahi hai to phir aur kya hai


Muhammad ki Azmat ko kya poochte ho
Ke wo Sahibe Kabah Kawsain tehre
Bashar ki sare Arsh mehmaan nawazi
Yeh Azmath nahi hai to phir aur kya hai

Jo aasi ko Kamli me apne chupa le
Jo dushman ko bhi zakhm khakar dua de
Usse aur kya naam dega zamana
Wo Rehmat nahi hai to phir aur kya hai

Qayamat ka ek din mu-aiyan hai lekin
Hamare liye har nafas hai qayamat
Madine se hum jaan nisaron ki doori
Qayamat nahi hai to phir aur kya hai

Tum Iqbal yeh naat kehto rahe ho
Magar yeh bhi soncha ke kya kar rahe ho
Kahaan tum Kahaan madhe Mamduhe Yazdaan
Ye jurrat nahi hai to phir aur kya hai

0 comments:

Post a Comment