24 Jan 2014

- Ser-e-gulshan kohn dekhe dasht-e-Taiba chor kar


Ser-e-gulshan kohn dekhe dasht-e-Taiba chor kar
Sooe Jannat kohn jaaye dar tumhara chor kar
 
Sar guzasht-e-gham kahoon kise tere hote huwe
Kis ke dar pe jaauun tera aastana chor kar
 
Mar hi jaaoon mein agar is dar se jaaoon do qadam
Kyaa bache bimaar-e-gham qurb-e-maseehaa chor kar
 
Bakhshwana mujh se aasee ka rwaa hoga kise
Kis ke daaman mein chupon daaman tumhara chor kar
 
Hashr mein ik ik mun jo takte phirte hain ‘udo
Aafton mein phans gaye inka sahara chor kar
 
Mar ke jeete hain jo unke dar pe jaate hain Hassan
Jii ke marte hain jo aate hain Madinah chor kar
 

0 comments:

Post a Comment