24 Jan 2014

- Unki Mehek Ne Dil Ke Gunche khila diye Hain


Unki mehek ne dil ke ghunche kila diye He,
Jis raah chal diye he, kooche basa diye he.


Jab agayi he josh e rahmat pe unki ankhe,
Jalte bujha diye he, rote hassa diye he.

Ik dil hamara kya he, aazar uska kitna,
Tum ne to chalte phirte, murde jila diye he.

Unke nisaar koyi kaise hi runj mein ho,
Jab yaad aagaye he, sab gham bhula diye he.

Hum se faqir bhi ab pheri ko utthe honge,
Ab to Ghani ke dar par, bistar jama diye he.

Asra mein guzre jis dam bere pe qudsiyon ke,
Hone lagi salaami, parchum jhuka diye he.

Aane do ya dabo do ab to tumhari janib,
Kashti tumhi pe chori, langar utha diye he.

Dulha se itna kehdo pyaare sawari roko,
Mushkil mein he baraati, purkhar la diye he.

Allah re kya jahannam ab bhi na sard hoga,
Ro ro ke Mustafa ne dariya baha diye he.

Mere kareem se gar qatra kisi ne maanga,
Dariya baha diye he, durbe baha diye he.

Mulk e sukhan ko shahi tum ko Raza musallam,
Jis simt agaye he, sikke bitha diye he.

0 comments:

Post a Comment