24 Jan 2014

- Zahe muqaddar Huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya


Zahe muqaddar Huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukaao nazren bichaao palken adab ka aala maqam aaya


Yeh kohn sar se kafan lapetein chala hai ulfat ke raate par
Farishte hairat se tak rahe hein ye kohn zi ehteram aaya

Faza mein labbaik ki sadaa-e za farsh ta Arsh goonjhti hein
Har ek qurban ho raha hai zaban pe ye kis ka naam aaya

Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna Aaqa salaam lijiye ghulam aaya

Yeh kehna aaqa bohat se aashiq tarapte se chorr aaya huun mein
Bulaawe ke muntazir hai lekin na subha aaya na shaam aaya

Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aayi
Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya

Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale
Nabi de saad in bisat ban kar payam durood-o-salaam aaya

Zahe muqaddar Huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukaao nazren bichaao palken adab ka aala maqam aaya

0 comments:

Post a Comment