24 Jan 2014

- Shahe Madina Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali


Shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah
Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah


Tere liye hi duniya bani hai, neele falak ki chaadar tani hai
Tu agar na hota duniya thi khaali, sare nabi tere dar ke sawali

Jalwe hai sare tere hi dam se, abaad aalam tere karam se
Baqi har ek shay naqshe khayali, sare nabi tere dar ke sawali

Tune jahan ki mehfil sajayi, taarikiyon mein shamma jalayi
Kandhe pe tere kamli hai kaali, sare nabi tere dar ke sawali

Mazhab hai tera sab ki bhalayi, maslak hai tera mushkil kushayi
Dekh ke apni ummat ki khasta haali, sare nabi tere dar ke sawali

Hai noor tera shamso qamar mein, tere labon ki laali sahar mein
Phoolon ne teri khushbu chura li, sare nabi tere dar ke sawali

Kaba ka kaba tera hi ghar hai, tere karam pe sab ki nazar hai
Dikhlade hum ko darbare aali, sare nabi tere dar ke sawali

Hain ap dukhyon ke aaqa sahare, taaje shafa’at hai sar pe tumhare
Ham ko aata ho rawze ki jaali, sare nabi tere dar ke sawali

Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah, shahe Madinah

0 comments:

Post a Comment