23 Jan 2014

- Kuchh nahi Mangta Shahon se yeh sheda tera

Kuch naheen mangta shaahon se ye sheda tera
Is kii dawlat hai faqat naqsh-e-kaf-e-paa tera

Loge kehte hain ke saaya tere pekar kaa na thaa
Mein to kehta hoon jahaan bhar pe hai saaya tera
 
Aik baar aur bhii Taiba se filasteen mein aa
Raasta dekhti hai Masjid-e-Aqsaa tera
 
Ab bhi zulmaar faroshon ko gila hai tujse
Raat baaqi thi ke suuraj nikal aaya tera
 
Mashriq-o-maghrib mein bikhre huwe gulzaaron ko
Nik-haten baant-taa hai aaj bhi sehra tera
 
Porey qad se jo kharaa hoon to ye tera hai karam
Mujh ko jhukne naheen deta hai sahara tera

0 comments:

Post a Comment