24 Jan 2014

- Utha do parda dikhaado chehra

Uthado parda dikhaado Chehra
Ke Noore baari hijab me he


Zamaana taarikh ho rahaa he
Ke meher kab se naqaab me he

Unhi ki boo ma ya saman he
Unhi ka Jalwa chaman chaman he

Unhi se Gulshan mehak rahe he
Unhi ki rangat ghulab me he

Khade he Munkar Nakir sar par
Na koyee haami na koyee yaawar

Batado aakar mere Payambar
Ke sakht mushkil jawab me he

Khuda-e Qah’har he gazab par
Khule he badkaariyo ke Daftar

Bachaalo aakar Shafi-e Mehshar
Tumhara banda azaab me he

Kareem aisa mila ke jiske
Khule he haath aur bhare khazaane

Batao-e mufliso ke phir kyuun
Tumhara dil iztaraab mein he

Karim apne karam ka Sadqa
Laeem beqadr ko na sharma

Tu aur Raza se Hisaab lena
Raza bhi koyee Hisaab me he

0 comments:

Post a Comment