22 Jan 2014

- Koo-e-Nabi Se Aana sake Hum Rahat Hi Kuch Aisi Thi



Koo-e-Nabi se aana sa ke ham,rahat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]

Takte rahe Yusuf jaise bhi hashr mein unke chehre ko
J
ab poocha to kehne lage woh, surat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Bolo eh Jibreel ke unki kyun kar taliyan choomi thi
To kehne lage Jibreel ke unki azmat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]

Duniya me sarkar ki naat parte rahe har ik lamha
Qabr me bhi thi naat labon parr, aadat hi kuch aisi thi
[
Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Akbar-o-asghar aur yeh ghazi deen pe ware has has kar
Yun lagta he deen-e-nabi ki keemat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Paas bulaya, paas bithaya, arsh pe unko khaliq ne
Yeh to aakhir ho nahi tha, chahat hi kuch aisi thi
[
Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Qabr mein hakim jab pohnche to has ke nakeeron ne dekha
Kyun na farishte pyaar se milte, nisbat hi kuch aisi thi
[Yaad rahi na jannat hamko, jannat hi kuch aisi thi]
Koo-e-Nabi se aana sa ke ham, rahat hi kuch aisi thi

0 comments:

Post a Comment