20 Jan 2014

- Ye Sabze Gumbad Wale Manzoor Dua Karna

E Sabze Gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

E Noor-e-Khuda aakar ankho me samaa jana
Ya dar pe bhulaalena ya khaab me aajana


Ai pardah nashi dil ke parde me reha karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna 

Mehboob Ilaahi sa koyi na hasee dekha
Ye Shaan he inki se saaya bhi nahi dekha

Allah ne saayeh ko chaha na judah karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna 

Me qabre andheri me ghabra wunga jab thanha
Imdaad mere karne ajaana zarah esharah

Roshan meri turbath ko Lillah zara karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna 

Chereh se diya paaye in chand sithaaro ne
Us dar se shifa paaye dukh dard ke maaro ne

Atha he inni Saabir har dukh ki dhawa karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

0 comments:

Post a Comment