22 Jan 2014

- Woh Bhi Din Aayega Main Madine Jaunga


woh bi din aayega main madine jaoonga
karne roze ka deedar, main madine jaoonga


woh bi din aaye ga main madine jaaonga
dekha nahi un ka dar ab tak,
kya hoga anjaam
lekin mere dil ki dhadkan deti hai pegam
marne se pehle ik baar, main madine jaonga

kya gham hai ke jakre hue hain doori ki zanjeer
mil jayegi mujh ko mere khuwaboon ki tabeer
jis din chaheinge sarkar, main madine jaoonga

mujh ko yakeen hai karam kareinge aamina bi ke laal
un ko tou maloom hai yaaro mere dil ka haal
kehte hain yeh dil ke taar, main madine jaoonga

rehmat-e-alam shahe madina nabiyon ke sardar
meri zeest main woh lamhe bi aajayeinge sarkar
main bhi sab se kahoon har baar, main madine jaoonga

josh-e-musarrat main a a kar , kaliyan khilengi dil ki
un ka karam jab hoga ali tou raahon se mushkil ki
gir jaye gi har deewar, main madine jaoonga

0 comments:

Post a Comment