22 Jan 2014

- Mein sajda karuun ya ke dil ko sambhalu Muhammad ki chokhat


Mein sajda karuun ya ke dil ko sambhaluun Muhammad ki chawkhat nazar aarahi he
Issi bekhudi mein kahiin ko na ja-uun tarrap Kamli Waale ki tarrap aarahi he
 

Do aalam ka Daata mere saamne he ke Kaabe ka Kabah mere saamne he
Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein Khuda ki khudaii jhuki ja rahi he

Galai mein hein zulfe to neechi nigahe nazar chuumti he Madine ki raahein
Farishte bhi barh kar qadam choomte hein Muhammad ki jogan chali aarahi he

 
Faqeeri ka mujh mein nahiin he saleeqa na ata he kuch maangne ka tareeqa
Idhar bhi nigaahe karam Kamli Wale zamaane ki jholi bhari ja rahi he

Farishto sar-e-raah aankhein bicha do uttho behr-e-tazeem sarr ko jhuka do
Khuda kehh raha he mere Dilruba ki wo dekho sawaari chali aarahi he

Ye farmaya haqq ne ke pyaare Muhammad hamare ho tum ham tumhare Muhammad
Humein apne jalwon mein eh Kamli Wale tumhari hi surat nazar aarahi he

Ye jazba muhabbat he rahmat khuda ki he chawkhat mere saamne Mustafa ki
Mujhe kyun na ho naaz qismat pe Muslim muhabbat kahaan ki kahaan la rahi he

0 comments:

Post a Comment