23 Jan 2014

- Naimatain baantta jis simt woh zeeshan gaya


Naimatain baanta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshi e rehmat ka qalamdaan gaya

Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhyan gaya
Mere Mawla mere Aaqa, tere qurbaan gaya

Aah woh aankh ke nakame tamanna hi rahi
He woh dil jo tere dar se, pur arman gaya

Dil he woh dil jo teri yaad se ma'moor raha
Sar woh sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya

Unhe jana unhe mana na rakkha ghair se kaam
Lillah hil hamd mein duniya se musalman gaya

Aur tum par mere Aaqa ki inayat na sahi
Najdio Kalima parha ne ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki panah aaj madad maang unse
Phir na manenge Qayamat mein agar maan gaya

Jaano dil hosh o khirad sab to Madine ponche
Tum nahin chalte Raza saara to samaan gaya

0 comments:

Post a Comment