22 Jan 2014

- Kiya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti

Kya khabar kya saza mujh ko milti
Mere Aqa ne izzat bachali


Farde isiyan meri mujh se le kar
Kali Kamli mein Apni chupali

Woh aata par ata karne wale
Aur ham bhi nahin talne wale

Jaisi deodi he waise bhikari
Jaisa Data hein waise sawali

Mein ghada hoon magar kis ke dar ka
Woh jo Sultan-e-Kono Makan hein

Yeh Ghulami bari mustanad he
Mere sar par he taj-e-Bilali

Mein Madine se kya agaya hun
Zindagi jaise bujh si gayi hai

Ghar ke andar faza soni soni
Ghar key bahar sama khali khali

Meri Umr-e-Rawan bas thehar jaa
Ab safar ki zuroorat nahin hai

Unke qadmon mein meri jabeen hai
Aur haathon mein Roze ki Jali

Mein faqat naam lewa hun Unka
Unki tawseef mein kya karoonga

Mein na Iqbal, Khusro na Saadi
Mein na Qudsi na Jami na Hali

Kya khabar kya saza mujh ko milti
Mere Aqa ne izzat bachali

0 comments:

Post a Comment