21 Jan 2014

- Jashn E Aamad e Rasool Allahi Allah


Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah

Noor ki tann gayee chaadrein chaarsuun
Huur-o-ghilmaan ki poori huwi aarzu

Mustafa mujtaba Shah-e-kono maqaam
Rabb ki sarkaar jab hogayi ru baru
Phir Khuda ne kaha mere mahboob tum
Ho Rasulon ke Rasul, Allahi Allah

Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah

Chehra-e-Mustafa jab dikhaya gaya
Jhukk gaye taare aur chaand sharmaa gaya
Aaminah dekh kar muskuraane lagey
Hawa Maryam bhi khushiyaan banaane lagey
Aaminah bibi sab se kehne lagey
Dua hogayi kabool, Allahi Allah

Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah

Farsh se arsh tak noor ka hai samaa
Laaye tashreef duniya mein Khairul Waraa
Aasi Ummat ki kismat savarne lagi
Baarishe rehmaton ki barasne lagi
E Haleema teri loriyon keliye
Rabb ke aagaye Rasool, Allahi Allah
Allahi Allah, Bolo Allahi Allah
Rabb ke aagaye Rasool, Allahi Allah

Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah

Boodd girey tooth kar khaaq main attak gaaey
Kufr ke phele baadal sabhi chatt gaey
Jub Rukh-e-Mustafa ki pari roshni
Ye zameenon zamaan khood main butt gaaey
Hoor-o-gilman malaik sabhi aaj hain
Zikr Ahmed main mashgool Allahi Allah

Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah
Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah

Shaadiyaane khushi ke bajaaye gaaye
Shaadi ke naghme sab ko sunaane gaaye
Har taraf shuurr Salle Ala hogaya
Aaj peda Habib-e-Khuda hogaya
Phir to Jibreel ne bhi ye elaan kiya
Ye Khudaa ke hein Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah
Allahi Allah bolo Allahi Allah
Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah

Chehra Quraan ki tafseer hai
Noor hi noor hai Haq ki tasveer hai
Mussaf-e-Mustafa ke ujaalon ke rung
Rehmaton se saji ek tasveer hai
Jaane kawnain jo hai Shafiul Waraa
Aise pyaare hein Rasul, Allahi Allah
Jashne Aamad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Aaminah ke phool, Allahi Allah

0 comments:

Post a Comment