23 Jan 2014

- Naat sunta rahun naat kehtaa rahun

Naat sunta rahun naat kehtaa rahun
Aankh par nam rahe dil machaltaa rahe

Najam naam-e-Muhammad,
peace and blessings of Allah be upon him, zubaan parr rahe
Zikr hotaa rahe saans chaltaa rahe

Besaharon ka koi sahara nahin
Mustafa ke siwa to guzaraa nahin
Unki chashm-e-Karam ho to kuch gham nahin
Chaahe saara zamaana badaltaa rahe

Ishq-e-Ahmad si duniya mein ni'mat nahin
Maal-o-zarr ki bhi koi haqiqat nahin
Baadshahon se behtar bhikaari hai woh
Unke darr pe jo tukron se paltaa rahe

Kya bhala aa saken zindagi ke maze
Duur reh kar Habib-e-Khuda se mujhe
Us ki haalat karun to karun kya bayaan
Har ghari dil jo furqat mein jaltaa rahe

Ye dua hai salaamat sadaa gham rahe
Taa abd raabitah unse qaaim rahe
Aatash-e-Ishq har dam bharhakti rahe
Khun rota rahun dil pigalta rahe

Mustafa ki nazar jis ghari ho gayi
Us ki taqdeer khowti khari ho gayi
Us ko tukre saara jahan bhi agar
Girrne wala magar phir sambhalta rahe

Najam ki e Khuda arzoo hai yahi
Aashiq-e-zaar ki aabru hai yahi
Aakhiri waqt sar unke qadmon pe ho
Deed hoti rahe dam nikalta rahe

0 comments:

Post a Comment