20 Jan 2014

- Habib e Kird e Gaar Apna Bana

E habib e kird e gaar apna bana
Ho gaya wo dil figaar apna bana


Jaan o dil tareeq hein asiyaan kaseer
E kareem o gham gusaar apna bana

Qurb ki lazzat se kyuun mahroom hein
Jaan o dil hein ashqbaar apna bana

Katt gaye din zindagi ke (unknown word?) mein
Ruuh ki sunle pukaar apna bana

Ghayr ke kabze se dil azaad kar
E dil o ke tajdaar apna bana

Apna chahat justjuu aur aarzu
E bahar e husne-yaar apna bana*
(*original line: ye inayat ki jiye sarkar apna bana)

Mohtakif huu shaha ki dehleez par
Jaan o dil tuj par nisaar apna bana*
(*original line: qasim e kawsar shah-e-abraar apna bana)

Kuch nahin Siddiqui nisbat ke bagher
Bas yehi darul karaar apna bana

0 comments:

Post a Comment