23 Jan 2014

- Mujh Pe Maula Ka karam Hai unka Naat parta hoon

Mujh pe Mawla ka karam hai unki Naatein parta huun,
Daaman apna Rabb ki rahmat se me har dam barta huun

Me sadqe Ya Rasulallah

Me sadqe Ya Habiballah

Dhoom unki naath khaani ki machate jaayege
Ya Rasulallahna nar'ah lagate jaayege

Naat Khaani mawt bhi hamse chura sakhti nahi
Qabr me bhi Mustafa ke geet gaate jaayege

Mujh pe Mawla ka karam hai unki Naatein parta huun,

Daaman apna Rabb ki rahmat se me har dam barta huun

Me sadqe Ya Rasulallah
Me sadqe Ya Habiballah

Ki guftaguu ho lab par tera naam aagaya hai
Tera zikr karte karte ye maaqam aagaya
Jis peeqe Sheikh Saadi ‘balaghal ula’ pukaare
Mere daast naat khaane me wohi jaam aagaya hain

Mujh pe Mawla ka karam hai unki Naatein parta huun,
Daaman apna Rabb ki rahmat se me har dam barta huun

Me sadqe Ya Rasulallah
Me sadqe Ya Habiballah

Saadaye duroodo ke aati rahe
Jineh sunkar dil shaad hota rahe
Khuda Ahle Sunnat ko aabad rakke
Muhammad ka Milaad hota rahe ga

Me sadqe Ya Rasulallah
Me sadqe Ya Habiballah

Jitna diya sarkar ne mujh ko
Utni meri owkat nahi
Yeh to karam hai unka
Warna mujh me to aisi baat nehi

Aare goor tu kar sarkar ki tuj par
Kitni khaas inaayat hai
Kawsar tu hai unka Sana Khwaan ye mamuuli baat nehi

Me sadqe Ya Rasulallah
Me sadqe Ya Habiballah

Gham nahi chorr de ye saara zamaana mujh ko
Aare mere Aqa hai seene se lagaane ke liye

Bakshdi Naat ki dowlat mere Aqa ne
Kitna pyara hai wasila
Sarkar ko paane ke liye

Mujh pe Mawla ka karam hai unki Naatein parta huun,
Daaman apna Rabb ki rahmat se me har dam barta huun

Me sadqe Ya Rasulallah
Me sadqe Ya Habiballah

0 comments:

Post a Comment