24 Jan 2014

- Soze dil chahiye chashme nam chahiye


Soz-e-dil chaahiye chasm-e-nam chaahiye
Aur showq-e-talab mu’tabar chaahiye
Hoon Madine kii galyaan muyassar agar
Aankh kaafi naheen hai nazar chaahiye

 
Unki mehfil ke aadaab kuch aur hain
Lab kushaa’ii jurrat munaasab naheen
Unki Sarkar mein iltijaa ke liye
Junbesh-e-lab naheen chash-e-tar chaahiye
 
Rownaq e zindagi ki bahut dekh leen
Ab mein aankhon kaa apni karunga bhi kya
Ab nah kuch deedni hai nah kuch guftanii
Mujko aaqa ki bas ik nazar chaahiye
 
Mein gada e dar-e-shaah-e-konain hoon
Sheesh mehelonki mujko tamannaa naheen
Hu zameen par muyassar ki zer-e-zameen
Mujko Taiba mein ik apnaa ghar chaahiye
 
Gosha gosha Madine ka pur noor hai
Saara maahol jalwon se ma’moor hai
Sharrt yeh he ki zarf-e-nazar chaahiye
Dekhne ko ki’ii deedah war chaahiye
 
Midhat-e-shaah-e-kohn-o-makaan ke liye
Sirf lafz-o-bayaan ka sahara na lo
Fan-shayarii hai Iqbal apni jaga
Naat likhne ko khuun-e-jigar chaahiye

0 comments:

Post a Comment