- Kapde badan ya daadhi ke saat khelna kapda sametna jaise sajde me jaate waqt aage ya peeche se uthana
- kapda latkana yani sar ya mundhe par iss tarah daalna ki dono kanare latakte ho
- kis aasteen ka aadhi kalayi se ziyada chadhana daaman samet kar namaaz padhna
- Shiddahat ka (zordaar) pakhana peshab maloom hote waqt ya galbaye riyaah ke waqt namaaz padhna
- Mard ka judha baandhe huwe namaaz padhna ungliya chatkana
- Ungliyo ki kainchi baandhna kamar par haath rakhna
- Idhar udhar muh pher kar dekhna
- Aasman ki taraf nigah uthana
- Tashahud ya sajdo ke darmiyan kutte ki tarah baithna
- Mard ka sajde me kalayiyo ka bichana
- Kisi shaks ke muh ke samne namaaz padhna
- Kapde me iss tarah lipat jaana ki haat bhi baahar na ho
- Pagdi iss tarah baandhna ki beech sar par na ho naak aur muh ko chipana
- Bezarurath khankaar nikaalna
- Bilkasd jamahi lena aur khud aaye toh harz nahi
- Jis kapde par jaandaar ki tasweer(photo) ho usko pehna kar namaaz padhna
- Tasweer ka namaazi ke sar par yani chath me hona ya latka hona ya sajda karne ki jagah me hona ki us par sajde waaki ho
- Namaazi kea age ya dahiye ya baaye ya peeche tasweer ka hona jab ki latki ho ya nasab ho ya diwaar wagaira mankoosh ho (dewaar par khood kar ya waise hi kisi jaandaar ki tasweer bani hona)
- Ulta Quraan majeed padhna
- Kisi wajib ko tark karna(chodna) qiyaam ke alawa kisi aur mouqe par Quraan padhna
- Ruku me Qirat ko khatm karna
- Imam se pehle muqtadi ka ruku wa sujood wagaira me jaana ya usse pehle sar uthana yeh tamaam baate makruh tehreemi hai
0 comments:
Post a Comment