JAWAAB: Do rakaat fajr ke farz se pehle, chaar rakaat zohar ke farz se pehle aur do rakaat farz ke baad, do rakaat magrib farz ke baad, do rakaat isha farz ke baad, chaar rakaat juma ke farz se pehle aur chaar rakaat juma farz ke baad. Inn sunnato ko “Sunnanatul huda” bhi kaha jaata hai.
SAWAAL: Kitni namaaze sunnate gair muakkada hai ?
JAWAAB: Chaar rakaat asr ke farz se pehle, chaar rakaat isha farz ke pehle, zohar farz ke baad do ke bajaaye chaar isi tarah, isha farz ke baad do ke bajaaye chaar rakaat, magrib ke baad chey(6) rakaat salatul awwabeen, do rakaat tahiyatul masjid, do rakaat tahiyatul wazu do rakaat namaaze ishraaq kam se kam do rakaat namaaze chaasth aur ziyada se ziyada baarah(12) rakaat, kam se kam do rakaat namaaze tahajjud aur ziyaada se ziyaada aant(8) rakaat, salaatutasbeeh, naaze istiqara aur namaaze haajat wagaira in sunnato ko sunnuzzawaaid aur kabhi mustahab bhi kehte hai.
SAWAAL: Jamaat khadi hone ke baad kisi sunnat ka shuru karna jayiz hai ya nahi ?
JAWAAB: Jamaat khadi ho jaane ke baad fajr ki sunnat ke alawa kisi sunnat ka shuru karna jayiz nahi, agar yeh jaane ki fajr ki sunnat padhne ke baad jamaat mil jayegi agarche qaada(baithak) hi me shamil hoga toh sunnat padhle magar saf(line) ke barabar khade hokar padhna jayiz nahi balki saf(line) se door hat kar padhe.
SAWAAL: Kin waqto me nafl namaaz padhna jayiz nahi ?
JAWAAB: Tulu wa gurub (Nikalna suraj ka aur doobna suraj ka) aur dopahar inn teeno waqto me koyi namaaz jayiz nahi na farz na wajib aur na nafl, haan agar uss roz asr ki namaaz nahi padhi hai toh suraj doobne ke waqt padhle aur tuluye fajr se taluye aaftaab(suraj) ke darmiyan siwaye do rakaat sunnate fajr ke tahiyatul masjid aur tahiyatul wazu wagaira koyi nafl jayiz nahi aur namaze asr se magrib ki farz padhne ke darmiyan nafl mana hai aur khutba ke waqt aur namaze Eiden se peshtar(pehle) nafl makruh hai chaahe ghar me padhe ya Eidgah wa masjid me aur namaze Eiden ke baad bhi nafl makruh hai jab ki Eidgah ya masjid me padhe ghar me padhna makruh nahi hai.
SAWAAL: Nafl namaaz baith kar padh sakte hai ya nahi ?
JAWAAB: Baith kar padh sakte hai magar jabki qudrat(taakat) ho to khade hokar padhna afzal hai.
0 comments:
Post a Comment