Allaah ke Naam se Shuru Jo Bohuth Mehrbaan,
Rahmat wala hai!
Beshumar Darood-o-Salam hoo Rasool-e-Azam
(Swallallaahu alaihi wa sallam) per.
Mubashrat Ke
Adaab
1)
Mubaasharat [Sohbat ya Jimaa] karna sunnath aur kaar-e-sawaab hai.
Quraan me Rab ajjawajal farmata hai : “Toh Ab unse sohbat karo aur
talab karo jo Allah ne tumhare nasib me likha ho.”
Aur Hadees me aya hai ke “Tum mein se apne biwi
ke sath Mubaasharat karna bhi sadaqa hai”.
Imaam Gazali (Radiallaha ta’ala anhu) farmate hain ke “Jab kabhi
Mubaasharat kare toh niyat sirf maza lene ya shewat ki aag bujhane ki na ho,
balke niyat ye rakhe ki zina se bachega aur aulaade swaleh wa nek sirat paida
hogi, agar us niyat se Mubbasharat karega to sawaab payega.”
NOTE:
Inzaal:- Mard ki mani uske aale se nikal kar, Aurat ki farj mein dakhil ho.
Mubasharat
ka Tariqa
1)
Mubaasharat se pehle wuzu kare, uske bahut se faide hain aur Mubaasharat se
pehle Khushboo lagana sunnat hai, khushboo Jim’aa aur asbabe Jim’aa me
madadgaar hai.
2) Mard
ko chahiye ke apne biwi per jaanwar ki tarha na kare, Sohbat se pehle Qasid
hote hai, Sahaba-e-kiram ne arz kiya Ya Rasoolullah (Swallallahu Alaihi Wa
Sallam) wo Qasid kya hain, to pyare Aaqa (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne
irshad farmaya wo bosa ,kinaar aur Mubaasharat aamez guftugu wagairah hai.
3)
Ummul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqa (Radiallaha ta’al anha) se marvi hai ke
Rasoolullah (Swallallahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaya jo Mard apne biwi ka hath
usko behlane ke liye pakadtha hai Allah azzawajal uske liye ek neki likh detha
hai, jab Mard Mubaasharat se apne Aurath ke gale me hath daltha hai uske haq me
“10” nekiyan likhi jaathi hai aur jab Aurath se Jimaa karta hai toh duniyan aur
jo kuch usme hai un sab se behtar hai.
4)
Sohbat se pehle khud bechain na hojaye, apne aap per pura itmenaan rakhe,
jaldbazi nakare, pehle biwi se pyar
bhari guftugu kare phir bosa wa kinaar ke zariye use Mubaasharat ke liye
amaadah kare uss dauraan dil hi dil me ye dua padhe, “ Bismillaahil Aliul Azeemi Allahu Akbar Allahu Akbar ”
uske baad jab Mard, Aurath, Sohbath ka irada karle toh barhana hone se pehle ek
martaba Sura-E-Ikhlaas padhle (Qul hu wallahu
ahad), Sura-E-Ikhlaas padhne ke baad ye dua padhe, “ Bismillaahi Allahumma Jannib nashaitaana Wa Janni
Bishaitaana Maa Razakhtanaa. ”
Agar
koyi shaks Sohbat ke waqt dua na padhe (yani shaitan se Allah ki pana na mange)
toh uss shaks ki Sharamgah se shaitaan lipat jatha hai, uss Mard ke
sath shaitaan bhi uski biwi se Sohbat karne lagtha hai aur uss Jimaa se jo
aulaad paida hothi hai wo Nafarmaan, Buri khaslathwaali, Begairath, Bad-deen wa
Gumrah hothi hai, shaitaan ki iss dakhal andaazi ke sabab aulaad me tabhakari
aajathi hai. Lihaza us musibath se bachne ke liye jab bhi Sohbat kare tho yaad
karke dua padhle ya kam-az-kam Aauzubillah aur Bismillaah
Sharif zaroor padhle.
5)
Sohbat sirf Aurath ki “faraaj” me hi honi chahiye, chahe aage se kare ya piche
se, daaye karwat se ho ya baaye karwat se.
6)
Mubaasharat ka sahi tarikha ye hai ke bistar per lete lete ho aur Aurath niche
ki janib ho aur Mard upar ki janib ho, is tarikhe se Mard ke jism se Aurath ka
jism dhak jayega. Dekhajaye toh iss tarikhe me rahath wa asani hai, aurat ko
isse mushaqath nahi hothi aur Mard ki mani ka asani se kharij hokar Aurath ke
faraaj me dakhil hoti hai aur isteqaraar hamal jald paata hai. Agar Aurath upar
Mard niche ho toh, iss surath me Mard ki kuch mani uske aazu me bakhi rehekar
fatun paida karegi aur phir baad me taklif wa iziyath ka bayiz banegi.
7)
Jiswaqt Inzaal ho, uswaqt dil hi dil me ye dua padhe. “Allahumma Laa Tajala Lishaitaana Feemaa Razakhtani
Naseeba. ” Inzaal hone ke baad Aurath se fauran juda na ho yahan tak
ke Aurath ki bhi hajath puri ho. Chunanche Mard ko Inzaal ho bhi jaye toh
fauran Aurath se alag na ho jaye balke isi tarha kuch der aur ruke rahe taake
Aurath ke bhi talab puri hojaye kyoun ke Aurath ko der me Inzaal hota hai.
8)
Mubaasharat ke dauran Mard aur Aurath koyi chadar wagaira odhle, jaanwaron ki
tarha barhana Sohbat na kare. Nabe-E-Karim (Swallallahu Alaihi Wa Sallam)
irshad farmate hai “Jab tumme se koyi apni biwi se Jimaa kare tho parda karle,
beparda hoga toh Farishte haya ki wajha se bahar nikal jayenge. Aur Shaitaan
aajayega, aub koyi bachcha ho tho shaitaan ki shirkath hogi. Aala Hazrath (Alairehma) farmate hai ke “ Barhana rehkar
Sohbath karne se aulaad ka besharm wa behaya hone ka khatra hai. ”
9) Miya
Biwi ka Sohbat ke waqt ek dusre ki sharmgah ko mass karna jayiz hai balke nek
niyath se ho toh mustahab wa sawab hai magar bagair zarurat ke sharmgah ko
dekhna aur chuna khilafe ula aur makru hai. Dourane Sohbat Mard aur
Aurath ek dusre ki sharmgah ki taraf nahi dekhna chahiye iske bahut se nuqsanat
hai, Ankhon ki Binayi(Roshni) khatam hojathi hai.
10)
Mubaasharat ke waqt aurath ke pistaan(Breasts) chumna ya chusne me koyi
haraj nahi lekin khayal rakhe ke doodh halaq me najaye, agar halaq me doodh
ajaye toh fauran thook de, jaanbuj kar doodh pina Najayiz wa Haraam hai, agar
doodh halaq se utar gaya ho toh Nikha na tutega.
11)
Sohbath ke baad Mard aur Aurath alag hojaye phir kisi saaf kapde se pehle dono
apne apne maqaame makhsoos ko saaf kare taake bistar per gandagi na lagne paye.
Safayi ke baad peshab kare, uske bahut se faide hai, peshab karle ne ke
baad sharmgah aur uske athraaf ke hisse ko achchi tarha se dhole usse badan
tandarust rehetha hai aur khujli ki bimari se bachawo ho jatha hai.
12) Lekin
yaad rakhe ke Mubaasharat ke fauran baad thanda paani se na dhoye ke isse
bimaar hone ka khatra hota hai, isliye ke Sohbat ke baad jism ka temperature
badh jatha hai aur jism me garmi ajathi hai, agar garam jism par thanda paani
dala jayega toh bukhar jald hone ka khatra hai. Lihaza Sohbat karne ke baad
takriban 5 ya 10 minute baitjaye ya letjaye take badan ki hararath Etedaal
(Normal) par ajaye phir uske baad paani ka istemaal kare, agar jaldi hai toh
halka sa garam pani se dhone me koyi nuqsan nahi.
13)
Mubaasharat ke baad usi rath me dusri martaba Sohabat ka irada ho toh
Mard aur Aurath dono Wazu karle ye faidamand hai aur agar Sohbat na bhi karna
hai toh Wazu karke sojaye.
Shab-e-Zufaaf
(Suhag Rath)
1) Jab
dhulha aur dhulhan kamre me jaye aur tanhayi hoto behtar ye hai ke sab se pehle
dhulha aur dhulhan 2 rakat namaz nafil shukrana padle agar dulhan haiz ki
halath me hoto namaz na pade lekin dulha zaroor padhe.
2) Namaz ke baad istarha dua kare “ Aye Allaah
tera shukr-o- Ahsan hai ke thune hame ye din diyaa aur hame is khushi wa
niyamath se nawaza aur hame apne pyare Habeeb (swallallaahu alaihi wa sallam)
ki iss sunnath par amal karne ki toufiq ata farmayi, aye Allaah hamari is
khushi ko hamesh isitarha qayim rakh, hame meel milap, pyar - muhabbath ke
saath itfaaq wa ittehaad ki zindagi guzarne ki toufiq ata farma, aye Allaa hame
nek, saleha aur farmabardar aulad ata farma aye Allaah mujhe isse aur usko
mujse raazi ata farma aur humpar apni rehmatain hamesh khayam rakh aur iman ke
sath salamath rakh (Ameen).
3) Namaz
aur dua padhlene ke baad dulhan aur dulha sukoon wa itminaan se bait jaye phir
uske baad dulha apni dulhan ki peshani ke thode se baal apne seedhe (right)
haath me narmi ke saath muhabbath bhare andaz me pakdhe aur ye dua pade “ Allaahumma inni as aluka min khairi maa jabal tahaa
alaihi wa awuzu bika min sharri haawa sharri maa jabal tahaa alaihi ”
Tarjuma: Aye Allaah main tujse
uski ( biwi) ki bhalayi aur khair-o-barkath mangtha houn aur uski fitrathi
adatain ki bhalayi aur teri panah chahata hoo uski burayi aur fitrathi adatain
ki burayi se
4) Dua
ki fazilath: shabbe zufaaf ke roz uss dua ke padhne ki fazilat me ulamaye ikram
irshad farmatain hai Allaah azzawajal uske padhne ki barkat se miya biwi ke
darmiyan ittehad wa ittefaaq aur muhabbat qayim rakhega aur aurath me agar koyi
burayi ho toh use dur farmayega uske zariye neki pheleyega aur aurath hamesh
shohar ki khidmathguzar wafadar aur farmabardar rahegi.
Chand
Zaruri Batain
1) Sohbat hamesha tanhayi me kare aur aisi jagah
kare jahan kisi ke achanak aneka khatra na ho, us waqt kamre me andhera karlo,
roshni me hargiz na kare.
2) Biwi
ka hath pakadkar, makan ke ander legaya aur darwaza band karliya aur logon ko
malum hogaya ke Mubaasharat karne ke liye aisa kiya hai
toh Makruh hai.
3)
Jahan per Quraan Sharif ki koyi kisi cheezoun per likhi huwi ho, agarche
upar shisha ho, jab tak usper kapde ka gilaaf na daal le, waha Sohbat karna ya
barhana hona be-adabi hai.
4) Jo bachcha samajtha ho aur dusron ke samne
bayan karsaktha hai, uske samne Sohbath karna Makru-e-tehrimi hai.
5) Kisi ki 2 Biwiyan ho toh ek biwi se dusre biwi
ke samne Sohbath karna Jayiz nahi.
6) Nashe ki halath me Mubaasharat na kare, warna
“Rheumatic Pain” naami bimari paida ho jathi hai aur aulaad apaahich (Langdi,
Lulli) paida ho jathi hai.
7) Sohbath
ke waqt Qible ke taraf muh ya peet karna Makru wa khilaafe aadab hai.
8) Iss baath ka hamesha khayal rakhe ke jab bhi Mubaasharat
ka iraada ho toh ye malum karle ke kahi Aurath Haiz se toh nahi hai, Aurath se
saaf saaf puchle, Aurath ki bhi zimmedari hai ke wo agar haayiza ho tho
be-jhijak apne Shohar ko isse agha kar de. Agar Aurath halate haiz me ho
toh hargiz hargiz Mubaasharat na kare, un ayyam me Mubaasharat karna bahuth
bada gunah hai.
9) Aurath
agar kisi pareshani ya bemari me mubtila ho tho uski sehat ka khayal kiye
bagair hergiz Mubaasharat na kare.
Mubasharat ke Dauran ye Na kare
1)Sohbath khade khade na kare ye jaanwaron ka tarikha hai aur
baite baite bhi na kare ye Mard aur Aurath dono ko
nuqsan de hai.
2) Sohbath ke dauran guftugu
na kare, khamosh rahe, Aala Hazrath (Alairehma) farmate hai ke “ Jimaa ke
dauran bath cheeth karna Makru hai, bachche gunge ya tutile hone ka khatra hai.
3) Sohbath ke dauran Mard
kisi dusri Aurath ka aur Aurath kisi dusre Mard ka khayal na laye, iss tarha
lana gunah aur chote kism ka zina hai.
4) Sohbath ke baad fauran
paani na piye kyoun ke isse saans ki bimari hone ka khatra hai.
5) Sohbat ke batein doston
se na kahe, usse napasand farmaya gaya hai. Sarkare Madina (Swallallahu Alaihi
Wa Sallam) farmate hai, “ Jis kisi ne Sohbath ki batein logon me bayan ki uski
misaal aisi hai jaise shaitaan Mard aur shaitaan Aurath se mile, aur logon ke samne
hi khule aam Sohbat karne lage.”
Mubasharat
ke Aukat (Waqt)
1)
Shariate islamiyan me Mubaasharat ke liye koyi khas waqt nahi bataya gaya
hai, Namaz ke auqaat ke ilaawa din aur raat ke har hisse me Sohbat kar sakte
hain.
2)
Sohbath ke liye sab se behtar waqt rath ka akhri hissa hai kyoun ke rath
ke pehle hisse me pet giza (khane ) se bhara hotha hai, aur bhara pet
Mubaasharat karne se sehath ko nuqsande hai.
Bhare Pet sohbat karne ke nuqsanath
a) Inzaal jald hota hai.
b) Meda kamzor hotha hai.
c) Hazme ki quwwat kamzor
hoti hai.
d) Jigar per waram aa jaata
hai.
e) Sugar ki bimari ho jati
hai.
f) Aulaad kund zehen paida
hoti hai.
3) Raat
ke pehle hisse me Sohbat karna Makruh hai, ke Sohbath ke baad poori raath
napaaki ke halath me sona padhega.
4) Baaz
ulama ne Shab-e-Juma (Jumerat ki raat) aur Juma ka din Mubaasharat karna
mustahab kaha hai.
5)
Azaan aur Namaaz ke waqt Mubaasharat na kare, uss se aulaad Nafarmaan,
Mazhoo se begana paida hothi hai.
6)
Har mahine ki chand raath, chand ki 15vi shab aur chand ki mahine ki
akhri shab Mubaasharat karna Makruh hai. Unn raton me Jim’aa ke waqt
shaitaan maujood hotha hai.
Reference : Kareena-e-Zindagi.
10 comments:
Bahot bahot shukreya mere bhai ya sab baton sa mahroom tha Allah aap ko eska ajar da mujha Ya sab baton ka elam Dana ka liya Allah hafiz
Aap ka bahot bahot shukreya aap na mejha zaruri batan batayi jissa my mahroom tha Allah aap ko eska ajar da Allah hafiz
Aap ka bahot bahot shukreya aap na mejha zaruri batan batayi jissa my mahroom tha Allah aap ko eska ajar da Allah hafiz
Aap ka bahot bahot shukreya aap na mejha zaruri batan batayi jissa my mahroom tha Allah aap ko eska ajar da Allah hafiz
Bahot bahot shukreya mere bhai ya sab baton sa mahroom tha Allah aap ko eska ajar da mujha Ya sab baton ka elam Dana ka liya Allah hafiz
Masha allah aap ne har cheez puri tafseel me batayi. Is baton par har ek shadishuda musalman ko amal karna chahiye. Allah hum sab musalmano is baton par nek niyyat se amal karne ki taufeef ata farmaye.
Masha allah aap ne har cheez puri tafseel me batayi. Is baton par har ek shadishuda musalman ko amal karna chahiye. Allah hum sab musalmano is baton par nek niyyat se amal karne ki taufeef ata farmaye.
Jazak Allah Khair... Itni sari batoe ka khayl karna parta hi malum ny tha.. Allahu Akbar.. In Shaa Allah Allah Kareem Hai..
Aslam O Alikum Bhai sawal yeh ha k Ghusal k fraiz main coli ki jati ha jis mai pani halq tak lejana hota ha to rozae mai ager ghusa farz ho jaye to kaisae Ghusal kiya jaye Thanks.
@Awanjee,
Wa alaikum mussalam,
Roze me agar gusl farz hojaye tho sirf Qulli kare, Gargara yani pani halak tak na pahunchaye
Post a Comment