Mere
ho’ton pe zikr-e-Madinah
Tajdaar-e-haram
ke karam se
Aagaya
zindagii ka qareena
Mein
ghulaam-e-ghulaamaan-e-Ahmad
Mein
sag-e-aastaan-e-Muhammad
Qaabil-e-fakhar
he mawt mere
Qaabal-e-rashk
he mera jeena
Har
khataa par mere chashm poshi
Har
talab pe ataaon ki baarash
Muj
gunahgaar pe kis qadar hein
Mehrbaan
tajdaar-e-madinah
Dil
shakasta he mera to kya gham
Is
mein rehte hae Shah-e-doh aalam
Jab se
mehmaan huwe hein wo dil mein
Dil
mera ban gayaa hein Madinah
Mujh
ko tuufaan ki mojuun ka kyaa gham
Wo
guzar jaaye gaa rukh badal kar
Na
khuda hein mere jab Muhammad
Kese
duube gaa mera safeena
0 comments:
Post a Comment