Zamaana
taarikh ho rahaa he
Ke meher kab se naqaab me he
Ke meher kab se naqaab me he
Unhi
ki boo ma ya saman he
Unhi ka Jalwa chaman chaman he
Unhi ka Jalwa chaman chaman he
Unhi
se Gulshan mehak rahe he
Unhi ki rangat ghulab me he
Unhi ki rangat ghulab me he
Khade
he Munkar Nakir sar par
Na koyee haami na koyee yaawar
Na koyee haami na koyee yaawar
Batado
aakar mere Payambar
Ke sakht mushkil jawab me he
Ke sakht mushkil jawab me he
Khuda-e
Qah’har he gazab par
Khule he badkaariyo ke Daftar
Khule he badkaariyo ke Daftar
Bachaalo
aakar Shafi-e Mehshar
Tumhara banda azaab me he
Tumhara banda azaab me he
Kareem
aisa mila ke jiske
Khule he haath aur bhare khazaane
Khule he haath aur bhare khazaane
Batao-e
mufliso ke phir kyuun
Tumhara dil iztaraab mein he
Tumhara dil iztaraab mein he
Karim
apne karam ka Sadqa
Laeem beqadr ko na sharma
Laeem beqadr ko na sharma
Tu
aur Raza se Hisaab lena
Raza bhi koyee Hisaab me he
Raza bhi koyee Hisaab me he
0 comments:
Post a Comment