20 Jan 2014

- Faslon Ko Takalluf Hai Ham e Agar,

Faslon ko takalluf hai ham se agar,
ham bhi bebas nahin besahara nahi,
Khud unhi ko pukarenge ham door se
Raaste mein agar paaon tak jayenge

Ham Madine mein tanha nikal jayenge
Aur galiyon mein kus dun batak jayenge
Ham wahan jaake waapas nahin ayenge

Doondte doondte log tak jayenge

Jaise hi Sabz Gumbad nazar ayega
Bandagi ka kareena badal jaye ga

Sar juka ne ki fursat mile gi kisey
Khud hi palkon se sajde tapak jayenge

Naame Aaqa jahan bhi liya jayega
Zikr unka jahaan bhi kiya jayega

Noor hi noor seeno mein bhar jayega
Sari mehfil mein jalwe lapak jayege

Eh Madine ke zahi Khuda ke liye
Daastaan ne safar mujko yumad suna

Baat bhar jayegi dil tarap jayega
Mere mohtat aasu chalak jayege

Unki chashme karam ko hai iski khabar
Kis musaafir ko hai kitna shawke safar

Ham ko Iqbal jab bhi ijazat mili,
Ham bhi Aaqa ke darbar tak jayegene

Faslon ko takalluf hai ham se agar,
ham bhi bebas nahin besahara nahi,
Khud unhi ko pukarenge ham door se
Raaste mein agar paaon tak jayenge

0 comments:

Post a Comment