Mein to Ashiq hu Nabi ka
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Zikr Sarwar mein mujhe koya huwa rehne do
Iss pe duniya jo khafa hai to khafa rehne do
Ya Muhammad ka wazifa hai labon par har dam
Dil ko bas yaad-e-Nabi mein fana rehne do
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Dil mein Nabi ki yaad ne daira jama liya
Saar-e-ghamon se aapke ham ne bacha liya
Qurban jaaon ya Nabi tere maqam par
Tu ne to pathron ko bhi kalma para diya
Viraniyan na aayengi ab aakhon mein kabhi
Aa ke dar-e-Rasul ka surma laga liya
Seene mein hai bahar sa mela laga huwa
Kiya usse tumhare dar jisse mehmaan bana liya
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Ghulamiye Rasul ka tohfa saja ke hekh
Nadaan unke dar pe sar to jhuka ke dekh
Aati he taig-e-josh mein Rehmat Hazoor ki
To dastan-e-gham zara unko suna ke dekh
Qadmon mein tere hon ge khazan-e-jahan ke
Ek baar unke naam pe sab kuch luta ke dekh
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Dard-o-alam ke maar-e-huwe kiya dete hein
Hum to bas unki ankhon ko dua dete hein
Banda banna hai khuda ka to gada ban unka
Jo fakeeron ko shehenshah bana dete hein
Apne walon ke naseebon mein kahan zook-e-janoon
Ishq wale hain jo har cheez luta dete hain
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Jab liya Naam-e-Nabi mein ne dua se pehle
Meri awaz wahan ponchi saba se pehle
Dam-e-aakhir mujhe aaqa ki ziyarat ho gi
Aik din aayenge Sarkar kaza se pehle
Ab mein karta hu parh ke Muhammad pe Durood
Yeh waseela bhi zaroori he Dua se pehle
Humne bhi iss Dar-e-Aqdas pe jamayi nazre
Jiss jagha milta he mangto ko sada se pehle
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Ghulam hein ghulam hein Rasul ke ghulam hein
Ghulamiye Rasul mein mawt bhi kabool hai
Jo ho na ishq-e-Mustafa to zindagi fazool hai
Jo ho na ishq-e-Mustafa to zindagi fazool hai
Mere to aap hi sabkuch hein Rahmat-e-Aalam
Mein jee raha hu zamane mein aap hi ke liye
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Har wakt tassawur mein Madine ki gali he
Ab darbadari hai na ghareebul watani he
Woh sham-e-haram jiss se munawwar hai Madinah
Kaabe ki kasam Rawnaq-e-Kabah bhi wohi he
Iss shehr mein bik jaate hein khud aa ke kharidar
Yeh misar ka bazar nahi shahar-e-Nabi he
Mein to Ashiq hu Nabi ka
Mein to Ashiq hu Nabi ka
0 comments:
Post a Comment