21 Jan 2014

- Ishq Ke Rang Main Rang Jao Mere Yaar


Ishq ke rang me rang jayen jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sana e shahe abraar me har lehzaa Guhar baar
Warna Wo Sayyidi Aale Nasabi han Wohi Ummi Laqabi Hashmi o Muttalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar


Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Aarzu ye he ke ho qalb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa dure aala jo nazar aye kahin jalwa e ruh e shahe abraar
Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aye jidhar se wo guzar jaye wohi raah chamak jaye damak jaye mahak jaye bane rawnaq e gulzaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Sung lun khushbu e gesu e Muhammad wo siya zulf nahin jis ke muqaabil ye banafsha ye suyuti ye chambeli ye gule laala o champaa ka nikhaar
Jis ki nagkhat pe hein qurbaan gulo bargo saman naafa e aahu e khutan baade chaman buwe chaman naaze chaman noor e chaman range chaman saara chaman zaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhara kissi mahoub ke rukhsaar ke til par magar eh Sayyade Aali teri namos teri azmat par

Eh Rasul e Madani ek nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke har kuchao bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Aap ke zikr me hein dam masala sare huda kawne arab naghma nigaraane ajam shawkate alfaaz e adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje naseen

Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shafe mahtaab sitaare malak o hur jina jin ki nawahon me duroodon ka hisaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Warafahnaa laka zikrak ki iss aaya e tawseef ki tawseef me tafseer me tashreekh me tawzikh me tanween me har ehd ki shaamil he zabaan

Labe Hassan o Rava ha wo labe Fatima Zahra wo Ali abid e bimaar Busairi dahane urtiyo jaame labe sahti o raza sab sar shaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Ishq ke rang me rang jaye muhajir ho ke pakhtun balochi ho ke punjabi o sindhi kissi khitte ki kabile ki zaban isse nahin koyi sarokaar

Jama e ishq e Muhammad jo pehen leta he har khaar ko wo phool bana leta he duniya ko jhuka leta he karta he zamaane ko muhabbat ka shikaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Ye muhajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtun ki sindhi ki balochi ki juda par ke dikhao to kissi shehr ki masjid me kabhi esi namaz
Haram e Kabah me arafat ke medaan me ya Rawza-e-Sarkaar pe kyun shaane milaate wahan karte nahin rang ka aur nasl katum apni shumaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Ya Nabi, aap ka ye adbi sana khwaan e dare rahmat ka ghada deta he dar dar ye sada deta he, aap se chaahat ka sala apni zaban me taasir

Sun ke sab ahle chaman us ka sukhan unko bhi ajaye haya sar ho nidaamat se jhuka aur nazar dekhe wo islaaf ki ulfat ka nazara ek baar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Eh Adeeb, ab yunhi alfaaz ke ambaar me ham dubte reh jayen magar haqqe sanaa koyi adaa phir bhi na kar payen ye jazbaat o zaban o kalam o fikr o khayaal
Un ki midhat to Malaaik ka wazifa he Sahaba ka tariqa ibaadat ka saleeqa he ye khaaliq ka pasandeeda he Qur’an ka he isme shyaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Ishq ke rang me rang jayen jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sana e shahe abraar me har lehzaa Guhar baar
Warna Wo Sayyidi Aale Nasabi han Wohi Ummi Laqabi Hashmi o Muttalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar

0 comments:

Post a Comment