Meetha
meetha he mere Muhammad ka naam
Un pe laakhon karoron durood o salam
Waqt laaye khuda jaaye Darbaar par Un pe laakhon karoron durood o salam
Aur khare ho ke Rawza-e-Sarkar par
Pesh mil kar kare ham durood o salaam
Un pe laakhon karoron durood o salam
Wohi Hasni Hussain chaman ke hain phool
Noor-e-Maula Ali jaan-e-Zahra batool
Jis ke Nana Rasul-e-Khuda zi makaan
Un pe laakhon karoron durood o salam
La makaan ke bane hain wohi to makeen
Jin ki naal’ain ko choome Arsh-e-barhin
Jo khuda se huwe Arsh par ham kalaam
Un pe laakhon karoron durood o salam
Shah-e-Konain wo ruh-e-daarain wo
Fakhr-e-Hasnain wo Ghaws-e-Saqlain wo
Jin ke dar ka hai Hafiz bhi adnaa ghulaam
Un pe laakhon karoron durood o salaam.
0 comments:
Post a Comment