Kya
khabar kya saza mujh ko milti
Mere
Aqa ne izzat bachali
Farde
isiyan meri mujh se le kar
Kali
Kamli mein Apni chupali
Woh
aata par ata karne wale
Aur
ham bhi nahin talne wale
Jaisi
deodi he waise bhikari
Jaisa
Data hein waise sawali
Mein
ghada hoon magar kis ke dar ka
Woh
jo Sultan-e-Kono Makan hein
Yeh
Ghulami bari mustanad he
Mere
sar par he taj-e-Bilali
Mein
Madine se kya agaya hun
Zindagi
jaise bujh si gayi hai
Ghar
ke andar faza soni soni
Ghar
key bahar sama khali khali
Meri
Umr-e-Rawan bas thehar jaa
Ab
safar ki zuroorat nahin hai
Unke
qadmon mein meri jabeen hai
Aur
haathon mein Roze ki Jali
Mein
faqat naam lewa hun Unka
Unki
tawseef mein kya karoonga
Mein
na Iqbal, Khusro na Saadi
Mein
na Qudsi na Jami na Hali
Kya
khabar kya saza mujh ko milti
Mere
Aqa ne izzat bachali
0 comments:
Post a Comment