24 Jan 2014

- Sarwar Kahuun Ke Maalik-o Mawlaa Kahuun Tujhe


Sarwar kahuun ke Maalik-o Mawlaa kahuun tujhe

Baaghe Khaleel ka gul-e zaybaa kahuun tujhe
Hirmaan naseeb huun tujhe ummeed gah kahuun

Jaane muraado kaane tamanna kahuun tujhe
Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahuun

Darmaan-e dard-e bulbul-e shedaa kahuun tujhe
Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf

Bekas nawaaz gesu-on waala kahuun tujhe
Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen

E jaan-e jaan mein jaane tajalla kahuun tujhe
Mujrim huun apne afwa ka saamaan karoon shahaa,

Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahuun tujhe!
Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon

Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahuun tujhe
Tere to wasf ayb-e tanaahee se hein baree

Hayraan huun mere shaah main kya kya kahuun tujhe
K`eh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee

Chup ho rahaa he keh ke main kya kya kahuun tujhe
Lekin Raza ne khatm-e sukhan is pe kardiya
Khaaliq ka banda Khalq ka Aaqa kahuun tujhe

0 comments:

Post a Comment